zameen ki aankh se manzar koi utaarte hain
hawa ka aks chalo ret par ubhaarte hain
khud apne hone ka inkaar kar chuke hain ham
hamaari zindagi ab doosre guzaarte hain
tumhaari jeet ka tum ko yaqeen aa jaaye
so ham tumhaare liye baar baar haarte hain
talash hai hamein kuchh gum-shuda bahaaron ki
guzar chuke hain jo mausam unhen pukaarte hain
chamak rahe hain mere khema-e-sukhan har-soo
hareef dekhiye shab-khoon kaise maarte hain
ye kaisi hairaten darpaish hain azeez-'nabeel
zara theharte hain aaseb-e-jaan utaarte hain
ज़मीं की आँख से मंज़र कोई उतारते हैं
हवा का अक्स चलो रेत पर उभारते हैं
ख़ुद अपने होने का इंकार कर चुके हैं हम
हमारी ज़िंदगी अब दूसरे गुज़ारते हैं
तुम्हारी जीत का तुम को यक़ीन आ जाए
सो हम तुम्हारे लिए बार बार हारते हैं
तलाश है हमें कुछ गुम-शुदा बहारों की
गुज़र चुके हैं जो मौसम उन्हें पुकारते हैं
चमक रहे हैं मिरे ख़ेमा-ए-सुख़न हर-सू
हरीफ़ देखिए शब-ख़ून कैसे मारते हैं
ये कैसी हैरतें दरपेश हैं अज़ीज़-'नबील'
ज़रा ठहरते हैं आसेब-ए-जाँ उतारते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading Nazara Shayari Shayari