us ki sochen aur us ki guftugoo meri tarah
vo sunhara aadmi tha hoo-b-hoo meri tarah
ek barg-e-be-shajar aur ik sadaa-e-baazgasht
dono aawaara phire hain koo-b-koo meri tarah
chaand taare ik diya aur raat ka komal badan
subh-dam bikhre pade the chaar soo meri tarah
lutf aavega bahut ai saakinaan-e-qasr-e-naaz
be-dar-o-deewaar bhi rahiyo kabhu meri tarah
dekhna phir lazzat-e-kafiyyat-e-tishna-labi
tod de pehle sabhi jaam-o-suboo meri tarah
ik piyaada sar karega saara maidaan-e-jadal
shart hai josh-e-junoon aur justuju meri tarah
उस की सोचें और उस की गुफ़्तुगू मेरी तरह
वो सुनहरा आदमी था हू-ब-हू मेरी तरह
एक बर्ग-ए-बे-शजर और इक सदा-ए-बाज़गश्त
दोनों आवारा फिरे हैं कू-ब-कू मेरी तरह
चाँद तारे इक दिया और रात का कोमल बदन
सुब्ह-दम बिखरे पड़े थे चार सू मेरी तरह
लुत्फ़ आवेगा बहुत ऐ साकिनान-ए-क़स्र-ए-नाज़
बे-दर-ओ-दीवार भी रहियो कभू मेरी तरह
देखना फिर लज़्ज़त-ए-कैफ़िय्यत-ए-तिश्ना-लबी
तोड़ दे पहले सभी जाम-ओ-सुबू मेरी तरह
इक पियादा सर करेगा सारा मैदान-ए-जदल
शर्त है जोश-ए-जुनूँ और जुस्तुजू मेरी तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading Ijazat Shayari Shayari