subh-savere khushboo panghat jaayegi | सुब्ह-सवेरे ख़ुशबू पनघट जाएगी

  - Aziz Nabeel

subh-savere khushboo panghat jaayegi
har jaanib qadmon ki aahat jaayegi

saare sapne baandh rakhe hain gathri mein
ye gathri bhi auron mein bat jaayegi

kya hoga jab saal naya ik aayega
jeevan-rekha aur zara ghat jaayegi

aur bhala kya haasil hoga sehra se
dhool meri peshaani par at jaayegi

kitne aansu jazb karegi chaati mein
yun lagta hai dharti ab phat jaayegi

hawle hawle subh ka aanchal failega
dheere dheere taarikee chhat jaayegi

naqqaare ki goonj mein aakhir-kaar nabeel
sannaate ki baat yoonhi kat jaayegi

सुब्ह-सवेरे ख़ुशबू पनघट जाएगी
हर जानिब क़दमों की आहट जाएगी

सारे सपने बाँध रखे हैं गठरी में
ये गठरी भी औरों में बट जाएगी

क्या होगा जब साल नया इक आएगा?
जीवन-रेखा और ज़रा घट जाएगी

और भला क्या हासिल होगा सहरा से
धूल मिरी पेशानी पर अट जाएगी

कितने आँसू जज़्ब करेगी छाती में
यूँ लगता है धरती अब फट जाएगी

हौले हौले सुब्ह का आँचल फैलेगा
धीरे धीरे तारीकी छट जाएगी

नक़्क़ारे की गूँज में आख़िर-कार 'नबील'
सन्नाटे की बात यूँही कट जाएगी

  - Aziz Nabeel

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari