aankhon ke gham-kadon mein ujaale hue to hain
buniyaad ek khwaab ki dale hue to hain
talwaar gir gai hai zameen par to kya hua
dastaar apne sar pe sambhaale hue to hain
ab dekhna hai aate hain kis samt se jawaab
ham ne kai sawaal uchaale hue to hain
zakhmi hui hai rooh to kuchh gham nahin hamein
ham apne doston ke hawaale hue to hain
go intizaar-e-yaar mein aankhen sulag uthiin
raahon mein door door ujaale hue to hain
ham qafile se bichhde hue hain magar nabeel
ik raasta alag se nikale hue to hain
आँखों के ग़म-कदों में उजाले हुए तो हैं
बुनियाद एक ख़्वाब की डाले हुए तो हैं
तलवार गिर गई है ज़मीं पर तो क्या हुआ
दस्तार अपने सर पे सँभाले हुए तो हैं
अब देखना है आते हैं किस सम्त से जवाब
हम ने कई सवाल उछाले हुए तो हैं
ज़ख़्मी हुई है रूह तो कुछ ग़म नहीं हमें
हम अपने दोस्तों के हवाले हुए तो हैं
गो इंतिज़ार-ए-यार में आँखें सुलग उठीं
राहों में दूर दूर उजाले हुए तो हैं
हम क़ाफ़िले से बिछड़े हुए हैं मगर 'नबील'
इक रास्ता अलग से निकाले हुए तो हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading Gham Shayari Shayari