kuchh der to duniya mere pahluu mein khadi thi | कुछ देर तो दुनिया मिरे पहलू में खड़ी थी

  - Aziz Nabeel

kuchh der to duniya mere pahluu mein khadi thi
phir teer bani aur kaleje mein gadi thi

aankhon ki faseelon se lahu phoot raha tha
khwaabon ke jazeera mein koi laash padi thi

sab rang nikal aaye the tasveer se baahar
tasveer wahi jo mere chehre pe jadi thi

main chaand hatheli pe liye jhoom raha tha
aur tootte taaron ki har ek simt jhadi thi

alfaaz kisi saaye mein dam lene lage the
awaaz ke sehra mein abhi dhoop kaddi thi

phir maine use pyaar kiya dil mein utaara
vo shakl jo kamre mein zamaane sepadri thi

har shakhs ke haathon mein tha us ka garebaan
ik aag thi saanson mein aziyat ki ghadi thi

कुछ देर तो दुनिया मिरे पहलू में खड़ी थी
फिर तीर बनी और कलेज़े में गड़ी थी

आंखों की फ़सीलों से लहू फूट रहा था
ख़्वाबों के जज़ीरे में कोई लाश पड़ी थी

सब रंग निकल आए थे तस्वीर से बाहर
तस्वीर वही जो मिरे चेहरे पे जड़ी थी

मैं चांद हथेली पे लिए झूम रहा था
और टूटते तारों की हर एक सिम्त झड़ी थी

अल्फ़ाज़ किसी साये में दम लेने लगे थे
आवाज़ के सहरा में अभी धूप कड़ी थी

फिर मैंने उसे प्यार किया, दिल में उतारा
वो शक्ल जो कमरे में ज़माने सेपड़ी थी

हर शख़्स के हाथों में था उस का गरीबां
इक आग थी सांसों में अज़ीयत की घड़ी थी

  - Aziz Nabeel

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari