ye kis maqaam pe laaya gaya khudaaya mujhe | ये किस मक़ाम पे लाया गया ख़ुदाया मुझे

  - Aziz Nabeel

ye kis maqaam pe laaya gaya khudaaya mujhe
ki aaj raund ke guzra hai mera saaya mujhe

main jaise waqt ke haathon mein ik khazana tha
kisi ne kho diya mujh ko kisi ne paaya mujhe

na jaane kaun hoon kis lamha-e-talab mein hoon
nabeel chain se jeena kabhi na aaya mujhe

main ek lamha tha aur neend ke hisaar mein tha
phir ek roz kisi khwaab ne jagaaya mujhe

usi zameen ne sitaara kiya hai mera vujood
samajh rahe hain zameen waale kyun paraaya mujhe

jahaan ki sadiyon ki khaamoshiyaan sulagti hain
kisi khayal ki vehshat ne gungunaaya mujhe

ik aarzoo ke ta'aqub mein yun hua hai nabeel
hawa ne ret ki palkon pe la bithaaya mujhe

ये किस मक़ाम पे लाया गया ख़ुदाया मुझे
कि आज रौंद के गुज़रा है मेरा साया मुझे

मैं जैसे वक़्त के हाथों में इक ख़ज़ाना था
किसी ने खो दिया मुझ को किसी ने पाया मुझे

न जाने कौन हूँ किस लम्हा-ए-तलब में हूँ
'नबील' चैन से जीना कभी न आया मुझे

मैं एक लम्हा था और नींद के हिसार में था
फिर एक रोज़ किसी ख़्वाब ने जगाया मुझे

उसी ज़मीं ने सितारा किया है मेरा वजूद
समझ रहे हैं ज़मीं वाले क्यूँ पराया मुझे

जहाँ कि सदियों की ख़ामोशियाँ सुलगती हैं
किसी ख़याल की वहशत ने गुनगुनाया मुझे

इक आरज़ू के तआक़ुब में यूँ हुआ है 'नबील'
हवा ने रेत की पलकों पे ला बिठाया मुझे

  - Aziz Nabeel

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari