main neend ke aiwaan mein hairaan tha kal shab
ik khwaab meri aankh ka mehmaan tha kal shab
kis gham mein bikharte rahe aakaash pe taare
kyun chaand pareshaan pareshaan tha kal shab
har aan koi yaad chamakti rahe dil mein
har lamha koi shor tha toofaan tha kal shab
kya jaaniye kya us ki nadaamat ka sabab tha
kya jaaniye kyun main bhi pashemaan tha kal shab
thehri hui lagti thi hawa aur har ik shay
jaise ki badan waqt ka be-jaan tha kal shab
ik noor sa faila raha us samt se is samt
jugnoo meri ummeed ki pehchaan tha kal shab
phir subh-e-munavvar ki basharat hui mujh ko
phir door talak raasta aasaan tha kal shab
मैं नींद के ऐवान में हैरान था कल शब
इक ख़्वाब मिरी आँख का मेहमान था कल शब
किस ग़म में बिखरते रहे आकाश पे तारे
क्यूँ चाँद परेशान परेशान था कल शब
हर आन कोई याद चमकती रहे दिल में
हर लम्हा कोई शोर था, तूफ़ान था कल शब
क्या जानिए क्या उस की नदामत का सबब था
क्या जानिए क्यूँ मैं भी पशेमान था कल शब
ठहरी हुई लगती थी हवा और हर इक शय
जैसे कि बदन वक़्त का बे-जान था कल शब
इक नूर सा फैला रहा उस सम्त से इस सम्त
जुगनू मिरी उम्मीद की पहचान था कल शब
फिर सुब्ह-ए-मुनव्वर की बशारत हुई मुझ को
फिर दूर तलक रास्ता आसान था कल शब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading Udas Shayari Shayari