na jaane kaisi mehroomi pas-e-raftaar chalti hai
hamesha mere aage aage ik deewaar chalti hai
vo ik hairat ki main jis ka ta'aqub roz karta hoon
vo ik vehshat mere hamraah jo har baar chalti hai
nikal kar mujh se baahar laut aati hai meri jaanib
meri deewaangi ab soorat-e-parkaar chalti hai
ajab andaaz-e-ham-safari hai ye bhi qafile waalo
hamaare darmiyaan ik aahani deewaar chalti hai
ghazal kehna bhi ab ik kaar-e-be-masrif sa lagta hai
naya kuchh bhi nahin hota bas ik takraar chalti hai
nabeel is ishq mein tum jeet bhi jaao to kya hoga
ye aisi jeet hai pahluu mein jis ke haar chalti hai
न जाने कैसी महरूमी पस-ए-रफ़्तार चलती है
हमेशा मेरे आगे आगे इक दीवार चलती है
वो इक हैरत कि मैं जिस का तआक़ुब रोज़ करता हूँ
वो इक वहशत मिरे हमराह जो हर बार चलती है
निकल कर मुझ से बाहर लौट आती है मिरी जानिब
मिरी दीवानगी अब सूरत-ए-परकार चलती है
अजब अंदाज़-ए-हम-सफ़री है ये भी क़ाफ़िले वालो
हमारे दरमियाँ इक आहनी दीवार चलती है
ग़ज़ल कहना भी अब इक कार-ए-बे-मसरफ़ सा लगता है
नया कुछ भी नहीं होता बस इक तकरार चलती है
'नबील' इस इश्क़ में तुम जीत भी जाओ तो क्या होगा
ये ऐसी जीत है पहलू में जिस के हार चलती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aziz Nabeel
our suggestion based on Aziz Nabeel
As you were reading Love Shayari Shayari