aayenge nazar subh ke aasaar mein ham log | आएँगे नज़र सुब्ह के आसार में हम लोग

  - Aziz Nabeel

aayenge nazar subh ke aasaar mein ham log
baithe hain abhi pardaa-e-asraar mein ham log

laaye gaye pehle to sar-e-dasht-e-ijaazat
maare gaye phir waadi-e-inkaar mein ham log

ik manzar-e-hairat mein fana ho gaeein aankhen
aaye the kisi mausam-e-deedaar mein ham log

har rang hamaara hai har ik rang mein ham hain
tasveer hue waqt ki raftaar mein ham log

ye khaak-nasheeni hai bahut zill-e-ilaahi
jachte hi nahin jubbaa-o-dastaar mein ham log

ab yun hai ki ik shakhs ka maatam hai musalsal
chunwaaye gaye hijr ki deewaar mein ham log

sunte the ki bikte hain yahan khwaab sunhare
firte hain tire shehar ke bazaar mein ham log

आएँगे नज़र सुब्ह के आसार में हम लोग
बैठे हैं अभी पर्दा-ए-असरार में हम लोग

लाए गए पहले तो सर-ए-दश्त-ए-इजाज़त
मारे गए फिर वादी-ए-इंकार में हम लोग

इक मंज़र-ए-हैरत में फ़ना हो गईं आँखें
आए थे किसी मौसम-ए-दीदार में हम लोग

हर रंग हमारा है, हर इक रंग में हम हैं
तस्वीर हुए वक़्त की रफ़्तार में हम लोग

ये ख़ाक-नशीनी है बहुत, ज़िल्ल-ए-इलाही
जचते ही नहीं जुब्बा-ओ-दस्तार में हम लोग

अब यूँ है कि इक शख़्स का मातम है मुसलसल
चुनवाए गए हिज्र की दीवार में हम लोग

सुनते थे कि बिकते हैं यहाँ ख़्वाब सुनहरे
फिरते हैं तिरे शहर के बाज़ार में हम लोग

  - Aziz Nabeel

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari