khayal-o-khwaab ka saara dhuaan utar chuka hai | ख़याल-ओ-ख़्वाब का सारा धुआँ उतर चुका है

  - Aziz Nabeel

khayal-o-khwaab ka saara dhuaan utar chuka hai
yaqeen ke taq mein suraj koi thehar chuka hai

mujhe utha ke samundar mein feknne waalo
ye dekho ek jazeera yahan ubhar chuka hai

main ek naqsh jo ab tak na ho saka poora
vo ek rang jo tasveer-e-jaan mein bhar chuka hai

ye koi aur hi hai mujh mein jo jhalakta hai
tumhein talash hai jis ki vo kab ka mar chuka hai

tire jawaab ki ummeed jaan se baandhe hue
mera sawaal hawa mein kahi bikhar chuka hai

na taar-taar hai daaman na hai garebaan chaak
ajeeb shakl junoon ikhtiyaar kar chuka hai

musafiron se kaho apni pyaas baandh rakhen
safar ki rooh mein sehra koi utar chuka hai

vo jab ki tujh se umeedein theen meri duniya ko
vo waqt beet chuka hai vo gham guzar chuka hai

nabeel aisa karo tum bhi bhool jaao use
vo shakhs apni har ik baat se mukar chuka hai

ख़याल-ओ-ख़्वाब का सारा धुआँ उतर चुका है
यक़ीं के ताक़ में सूरज कोई ठहर चुका है

मुझे उठा के समुंदर में फेंकने वालो
ये देखो एक जज़ीरा यहाँ उभर चुका है

मैं एक नक़्श, जो अब तक न हो सका पूरा
वो एक रंग, जो तस्वीर-ए-जाँ में भर चुका है

ये कोई और ही है मुझ में जो झलकता है
तुम्हें तलाश है जिस की वो कब का मर चुका है

तिरे जवाब की उम्मीद जाँ से बाँधे हुए
मिरा सवाल हवा में कहीं बिखर चुका है

न तार-तार है दामन, न है गरेबाँ चाक
अजीब शक्ल जुनूँ इख़्तियार कर चुका है

मुसाफ़िरों से कहो अपनी प्यास बाँध रखें
सफ़र की रूह में सहरा कोई उतर चुका है

वो जब कि तुझ से उमीदें थीं मेरी दुनिया को
वो वक़्त बीत चुका है वो ग़म गुज़र चुका है

'नबील' ऐसा करो तुम भी भूल जाओ उसे
वो शख़्स अपनी हर इक बात से मुकर चुका है

  - Aziz Nabeel

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari