baaton mein bahut gehraai hai lehje mein badi sacchaai hai | बातों में बहुत गहराई है, लहजे में बड़ी सच्चाई है - Aziz Nabeel

baaton mein bahut gehraai hai lehje mein badi sacchaai hai
sab baatein phoolon jaisi hain awaaz madhur shehnai hai

ye boonden pehli baarish ki ye sondhi khushboo maati ki
ik koel baagh mein kooki hai awaaz yahan tak aayi hai

badnaam bahut hai raah-guzar khaamosh nazar bechain safar
ab gard jamee hai aankhon mein aur door talak ruswaai hai

dil ek musaafir hai be-bas jise noch rahe hain pesh-o-pas
ik dariya peeche bahta hai aur aage gahri khaai hai

ab khwaab nahin kam-khwaab nahin kuch jeene ke asbaab nahin
ab khwaahish ke taalaab pe har soo maayusi ki kaai hai

pehle kabhi mehfil jamti thi mehfil mein kahi tum hote the
ab kuch bhi nahin yaadon ke siva bas main hoon meri tanhaai hai

बातों में बहुत गहराई है, लहजे में बड़ी सच्चाई है
सब बातें फूलों जैसी हैं, आवाज़ मधुर शहनाई है

ये बूँदें पहली बारिश की, ये सोंधी ख़ुशबू माटी की
इक कोयल बाग़ में कूकी है, आवाज़ यहाँ तक आई है

बदनाम बहुत है राह-गुज़र, ख़ामोश नज़र, बेचैन सफ़र
अब गर्द जमी है आँखों में और दूर तलक रुस्वाई है

दिल एक मुसाफ़िर है बे-बस, जिसे नोच रहे हैं पेश-ओ-पस
इक दरिया पीछे बहता है और आगे गहरी खाई है

अब ख़्वाब नहीं कम-ख़्वाब नहीं, कुछ जीने के अस्बाब नहीं
अब ख़्वाहिश के तालाब पे हर सू मायूसी की काई है

पहले कभी महफ़िल जमती थी महफ़िल में कहीं तुम होते थे
अब कुछ भी नहीं यादों के सिवा, बस मैं हूँ मिरी तन्हाई है

- Aziz Nabeel
2 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari