dil mein hasrat koi bachi hi nahin
aag aisi lagi bujhi hi nahin
us ne jab khud ko be-naqaab kiya
phir kisi ki nazar uthi hi nahin
jaisa is baar khul ke roye ham
aisi baarish kabhi hui hi nahin
zindagi ko gale lagaate kya
zindagi umr-bhar mili hi nahin
muntazir kab se chaand chat par hai
koi khidki abhi khuli hi nahin
main jise apni zindagi samjha
sach to ye hai vo meri thi hi nahin
दिल में हसरत कोई बची ही नहीं
आग ऐसी लगी बुझी ही नहीं
उस ने जब ख़ुद को बे-नक़ाब किया
फिर किसी की नज़र उठी ही नहीं
जैसा इस बार खुल के रोए हम
ऐसी बारिश कभी हुई ही नहीं
ज़िंदगी को गले लगाते क्या
ज़िंदगी उम्र-भर मिली ही नहीं
मुंतज़िर कब से चाँद छत पर है
कोई खिड़की अभी खुली ही नहीं
मैं जिसे अपनी ज़िंदगी समझा
सच तो ये है वो मेरी थी ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azm Shakri
our suggestion based on Azm Shakri
As you were reading Aag Shayari Shayari