chahta ye hoon ki benaam-o-nishaan ho jaaun | चाहता ये हूँ कि बेनाम-ओ-निशाँ हो जाऊँ

  - Azm Shakri

chahta ye hoon ki benaam-o-nishaan ho jaaun
shaam ki tarah jaloon aur dhuaan ho jaaun

pehle dahleez pe raushan karoon aankhon ke charaagh
aur phir khud kisi parde mein nihaan ho jaaun

tod kar fenk doon ye firqa-parasti ke mahal
aur peshaani pe sajde ka nishaan ho jaaun

dil se phir dard mahakne ki sadaaein utthen
kaash aisa ho main teri rag-e-jaan ho jaaun

bas tire zikr mein kat jaayen mere roz-o-shab
noor ki shaakh pe chidiyon ki zabaan ho jaaun

khaak jis kooche ki malte hain farishte aa kar
main usi khaak ke zarroon mein nihaan ho jaaun

meri aawaara-mizaaji ko sukoon mil jaaye
dard ban kar tire seene mein ravaan ho jaaun

चाहता ये हूँ कि बेनाम-ओ-निशाँ हो जाऊँ
शाम की तरह जलूँ और धुआँ हो जाऊँ

पहले दहलीज़ पे रौशन करूँ आँखों के चराग़
और फिर ख़ुद किसी पर्दे में निहाँ हो जाऊँ

तोड़ कर फेंक दूँ ये फ़िरक़ा-परस्ती के महल
और पेशानी पे सज्दे का निशाँ हो जाऊँ

दिल से फिर दर्द महकने की सदाएँ उट्ठें
काश ऐसा हो मैं तेरी रग-ए-जाँ हो जाऊँ

बस तिरे ज़िक्र में कट जाएँ मिरे रोज़-ओ-शब
नूर की शाख़ पे चिड़ियों की ज़बाँ हो जाऊँ

ख़ाक जिस कूचे की मलते हैं फ़रिश्ते आ कर
मैं उसी ख़ाक के ज़र्रों में निहाँ हो जाऊँ

मेरी आवारा-मिज़ाजी को सुकूँ मिल जाए
दर्द बन कर तिरे सीने में रवाँ हो जाऊँ

  - Azm Shakri

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azm Shakri

As you were reading Shayari by Azm Shakri

Similar Writers

our suggestion based on Azm Shakri

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari