zindagi yun bhi guzaari ja rahi hai
jaise koi jang haari ja rahi hai
jis jagah pehle ke zakhamon ke nishaan mein
phir wahin par chot maari ja rahi hai
waqt-e-rukhsat aab-deeda aap kyun hain
jism se to jaan hamaari ja rahi hai
bol kar taarif mein kuchh lafz us ki
shakhsiyat apni nikhaari ja rahi hai
dhoop ke dastaane haathon mein pahan kar
barf ki chadar utaari ja rahi hai
ज़िंदगी यूँ भी गुज़ारी जा रही है
जैसे कोई जंग हारी जा रही है
जिस जगह पहले के ज़ख़्मों के निशाँ में
फिर वहीं पर चोट मारी जा रही है
वक़्त-ए-रुख़्सत आब-दीदा आप क्यूँ हैं
जिस्म से तो जाँ हमारी जा रही है
बोल कर तारीफ़ में कुछ लफ़्ज़ उस की
शख़्सियत अपनी निखारी जा रही है
धूप के दस्ताने हाथों में पहन कर
बर्फ़ की चादर उतारी जा रही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azm Shakri
our suggestion based on Azm Shakri
As you were reading Ujaala Shayari Shayari