saari raat ke bikhre hue sheeraze par rakhi hain | सारी रात के बिखरे हुए शीराज़े पर रक्खी हैं - Azm Shakri

saari raat ke bikhre hue sheeraze par rakhi hain
pyaar ki jhooti ummeedein khaamiyaaze par rakhi hain

koi to apna wa'da hi aasaani se bhool gaya
aur kisi ki do aankhen darwaaze par rakhi hain

us ke khwaab haqeeqat hain us ki zaat mukammal hai
aur hamaari sab khushiyaan andaaze par rakhi hain

सारी रात के बिखरे हुए शीराज़े पर रक्खी हैं
प्यार की झूटी उम्मीदें ख़ामियाज़े पर रक्खी हैं

कोई तो अपना वा'दा ही आसानी से भूल गया
और किसी की दो आँखें दरवाज़े पर रक्खी हैं

उस के ख़्वाब हक़ीक़त हैं उस की ज़ात मुकम्मल है
और हमारी सब ख़ुशियाँ अंदाज़े पर रक्खी हैं

- Azm Shakri
3 Likes

Raksha bandhan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azm Shakri

As you were reading Shayari by Azm Shakri

Similar Writers

our suggestion based on Azm Shakri

Similar Moods

As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari