ye mat kaho ki bheed mein tanhaa khada hoon main | ये मत कहो कि भीड़ में तन्हा खड़ा हूँ मैं

  - Azm Shakri

ye mat kaho ki bheed mein tanhaa khada hoon main
takra ke aabgeene se patthar hua hoon main

aankhon ke junglon mein mujhe mat karo talash
daaman pe aansuon ki tarah aa gaya hoon main

yun be-rukhi ke saath na munh fer ke guzar
ai sahib-e-jamaal tira aaina hoon main

yun baar baar mujh ko sadaaein na deejie
ab vo nahin raha hoon koi doosra hoon main

meri buraaiyon pe kisi ki nazar nahin
sab ye samajh rahe hain bada paarsa hoon main

vo bewafa samajhta hai mujh ko use kaho
aankhon mein us ke khwaab liye phir raha hoon main

ये मत कहो कि भीड़ में तन्हा खड़ा हूँ मैं
टकरा के आबगीने से पत्थर हुआ हूँ मैं

आँखों के जंगलों में मुझे मत करो तलाश
दामन पे आँसुओं की तरह आ गया हूँ मैं

यूँ बे-रुख़ी के साथ न मुँह फेर के गुज़र
ऐ साहब-ए-जमाल तिरा आइना हूँ मैं

यूँ बार बार मुझ को सदाएँ न दीजिए
अब वो नहीं रहा हूँ कोई दूसरा हूँ मैं

मेरी बुराइयों पे किसी की नज़र नहीं
सब ये समझ रहे हैं बड़ा पारसा हूँ मैं

वो बेवफ़ा समझता है मुझ को उसे कहो
आँखों में उस के ख़्वाब लिए फिर रहा हूँ मैं

  - Azm Shakri

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azm Shakri

As you were reading Shayari by Azm Shakri

Similar Writers

our suggestion based on Azm Shakri

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari