musalsal hans raha hoon ga raha hoon
tiri yaadon se dil bahla raha hoon
tiri yaadon ki belen jal gaeein sab
main phoolon ki tarah murjha raha hoon
ai meri wahshato sehra ki jaanib
mujhe awaaz do main aa raha hoon
kinaare meri jaanib badh rahe hain
magar main hoon ki dooba ja raha hoon
yahan jhooton ke tamge mil rahe hain
main saccha hoon to parkha ja raha hoon
मुसलसल हँस रहा हूँ गा रहा हूँ
तिरी यादों से दिल बहला रहा हूँ
तिरी यादों की बेलें जल गईं सब
मैं फूलों की तरह मुरझा रहा हूँ
ऐ मेरी वहशतो सहरा की जानिब
मुझे आवाज़ दो मैं आ रहा हूँ
किनारे मेरी जानिब बढ़ रहे हैं
मगर मैं हूँ कि डूबा जा रहा हूँ
यहाँ झूटों के तम्ग़े मिल रहे हैं
मैं सच्चा हूँ तो परखा जा रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azm Shakri
our suggestion based on Azm Shakri
As you were reading Paani Shayari Shayari