khoon aansu ban gaya aankhon mein bhar jaane ke baad
aap aaye to magar toofaan guzar jaane ke baad
chaand ka dukh baantne nikle hain ab ahl-e-wafa
raushni ka saara sheeraza bikhar jaane ke baad
hosh kya aaya musalsal jal raha hoon hijr mein
ik sunhari raat ka nashsha utar jaane ke baad
zakham jo tum ne diya vo is liye rakha haraa
zindagi mein kya bachega zakham bhar jaane ke baad
shaam hote hi charaagon se tumhaari guftugoo
ham bahut masroof ho jaate hain ghar jaane ke baad
zindagi ke naam par ham umar bhar jeete rahe
zindagi ko ham ne paaya bhi to mar jaane ke baad
ख़ून आँसू बन गया आँखों में भर जाने के बाद
आप आए तो मगर तूफ़ाँ गुज़र जाने के बाद
चाँद का दुख बाँटने निकले हैं अब अहल-ए-वफ़ा
रौशनी का सारा शीराज़ा बिखर जाने के बाद
होश क्या आया मुसलसल जल रहा हूँ हिज्र में
इक सुनहरी रात का नश्शा उतर जाने के बाद
ज़ख़्म जो तुम ने दिया वो इस लिए रक्खा हरा
ज़िंदगी में क्या बचेगा ज़ख़्म भर जाने के बाद
शाम होते ही चराग़ों से तुम्हारी गुफ़्तुगू
हम बहुत मसरूफ़ हो जाते हैं घर जाने के बाद
ज़िंदगी के नाम पर हम उमर भर जीते रहे
ज़िंदगी को हम ने पाया भी तो मर जाने के बाद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azm Shakri
our suggestion based on Azm Shakri
As you were reading Aansoo Shayari Shayari