na darveshon ka khirka chahiye na taaj-e-shahaana
mujhe to hosh de itna rahoon main tujh pe deewaana
kitaabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho daaliin
hamaare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmaana
ghaneemat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein
diye ja saaqi-e-paemaan-shikan bhar bhar ke paimaana
na dekha vo kahi jalwa jo dekha khaana-e-dil mein
bahut masjid mein sar maara bahut sa dhoonda but-khaana
kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsood ko pahunchu
tareeq-e-paarsaai hove ya ho raah-e-rindaana
ye saari aamad-o-shud hai nafs ki aamad-o-shud par
isee tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana
zafar vo zaahid-e-bedard ki hoo-haqq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se haav-hu-e-mastaana
न दरवेशों का ख़िर्क़ा चाहिए न ताज-ए-शाहाना
मुझे तो होश दे इतना रहूँ मैं तुझ पे दीवाना
किताबों में धरा है क्या बहुत लिख लिख के धो डालीं
हमारे दिल पे नक़्श-ए-कल-हज्र है तेरा फ़रमाना
ग़नीमत जान जो दम गुज़रे कैफ़ियत से गुलशन में
दिए जा साक़ी-ए-पैमाँ-शिकन भर भर के पैमाना
न देखा वो कहीं जल्वा जो देखा ख़ाना-ए-दिल में
बहुत मस्जिद में सर मारा बहुत सा ढूँडा बुत-ख़ाना
कुछ ऐसा हो कि जिस से मंज़िल-ए-मक़्सूद को पहुँचूँ
तरीक़-ए-पारसाई होवे या हो राह-ए-रिंदाना
ये सारी आमद-ओ-शुद है नफ़स की आमद-ओ-शुद पर
इसी तक आना जाना है न फिर जाना न फिर आना
'ज़फ़र' वो ज़ाहिद-ए-बेदर्द की हू-हक़ से बेहतर है
करे गर रिंद दर्द-ए-दिल से हाव-हु-ए-मस्ताना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Gulshan Shayari Shayari