chup-chaap sulagta hai diya tum bhi to dekho
kis dard ko kahte hain wafa tum bhi to dekho
mahtaab-b-kaf raat kise dhundh rahi hai
kuchh door chalo aao zara tum bhi to dekho
kis tarah kinaaron ko hai seene se lagaaye
thehre hue paani kii ada tum bhi to dekho
yaadon ke saman-zaar se aayi hui khushboo
daaman mein chhupa laai hai kya tum bhi to dekho
kuchh raat gaye roz jo aati hai fazaa se
har dil mein hai ik zakhm chhupa tum bhi to dekho
har hanste hue phool se rishta hai khizaan ka
har dil mein hai ik zakhm chhupa tum bhi to dekho
kyun aane lagin saans mein gehraaiyaan socho
kyun toot chale band-e-qaba tum bhi to dekho
चुप-चाप सुलगता है दिया तुम भी तो देखो
किस दर्द को कहते हैं वफ़ा तुम भी तो देखो
महताब-ब-कफ़ रात किसे ढूँड रही है
कुछ दूर चलो आओ ज़रा तुम भी तो देखो
किस तरह किनारों को है सीने से लगाए
ठहरे हुए पानी की अदा तुम भी तो देखो
यादों के समन-ज़ार से आई हुई ख़ुश्बू
दामन में छुपा लाई है क्या तुम भी तो देखो
कुछ रात गए रोज़ जो आती है फ़ज़ा से
हर दिल में है इक ज़ख़्म छुपा तुम भी तो देखो
हर हँसते हुए फूल से रिश्ता है ख़िज़ाँ का
हर दिल में है इक ज़ख़्म छुपा तुम भी तो देखो
क्यूँ आने लगीं साँस में गहराइयाँ सोचो
क्यूँ टूट चले बंद-ए-क़बा तुम भी तो देखो
As you were reading Shayari by Bashar Nawaz
our suggestion based on Bashar Nawaz
As you were reading undefined Shayari