kahaan aansuon ki ye sougaat hogi | कहाँ आँसुओं की ये सौग़ात होगी - Bashir Badr

kahaan aansuon ki ye sougaat hogi
naye log honge nayi baat hogi

main har haal mein muskurata rahunga
tumhaari mohabbat agar saath hogi

charaagon ko aankhon mein mahfooz rakhna
badi door tak raat hi raat hogi

pareshaan ho tum bhi pareshaan hoon main bhi
chalo may-kade mein wahin baat hogi

charaagon ki lau se sitaaron ki zau tak
tumhein main miloonga jahaan raat hogi

jahaan vaadiyon mein naye phool aaye
hamaari tumhaari mulaqaat hogi

sadaaon ko alfaaz milne na paayein
na baadal ghirenge na barsaat hogi

musaafir hain ham bhi musaafir ho tum bhi
kisi mod par phir mulaqaat hogi

कहाँ आँसुओं की ये सौग़ात होगी
नए लोग होंगे नई बात होगी

मैं हर हाल में मुस्कुराता रहूँगा
तुम्हारी मोहब्बत अगर साथ होगी

चराग़ों को आँखों में महफ़ूज़ रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी

परेशां हो तुम भी परेशां हूँ मैं भी
चलो मय-कदे में वहीं बात होगी

चराग़ों की लौ से सितारों की ज़ौ तक
तुम्हें मैं मिलूँगा जहाँ रात होगी

जहाँ वादियों में नए फूल आए
हमारी तुम्हारी मुलाक़ात होगी

सदाओं को अल्फ़ाज़ मिलने न पाएँ
न बादल घिरेंगे न बरसात होगी

मुसाफ़िर हैं हम भी मुसाफ़िर हो तुम भी
किसी मोड़ पर फिर मुलाक़ात होगी

- Bashir Badr
9 Likes

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari