musaafir ke raaste badalte rahe | मुसाफ़िर के रस्ते बदलते रहे - Bashir Badr

musaafir ke raaste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe

mere raaston mein ujaala raha
diye us ki aankhon mein jalte rahe

koi phool sa haath kaandhe pe tha
mere paanv sholoon pe jalte rahe

suna hai unhen bhi hawa lag gai
hawaon ke jo rukh badalte rahe

vo kya tha jise hum ne thukra diya
magar umr bhar haath malte rahe

mohabbat adavat wafa be-rukhi
kiraye ke ghar the badalte rahe

lipt kar charaagon se vo so gaye
jo phoolon pe karvat badalte rahe

मुसाफ़िर के रस्ते बदलते रहे
मुक़द्दर में चलना था चलते रहे

मिरे रास्तों में उजाला रहा
दिए उस की आँखों में जलते रहे

कोई फूल सा हाथ काँधे पे था
मिरे पाँव शो'लों पे जलते रहे

सुना है उन्हें भी हवा लग गई
हवाओं के जो रुख़ बदलते रहे

वो क्या था जिसे हम ने ठुकरा दिया
मगर उम्र भर हाथ मलते रहे

मोहब्बत अदावत वफ़ा बे-रुख़ी
किराए के घर थे बदलते रहे

लिपट कर चराग़ों से वो सो गए
जो फूलों पे करवट बदलते रहे

- Bashir Badr
5 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari