shabnam ke aansu phool par ye to wahi qissa hua | शबनम के आँसू फूल पर ये तो वही क़िस्सा हुआ - Bashir Badr

shabnam ke aansu phool par ye to wahi qissa hua
aankhen meri bheegi hui chehra tira utara hua

ab in dinon meri ghazal khushboo ki ik tasveer hai
har lafz gunche ki tarah khil kar tira chehra hua

shaayad use bhi le gaye achhe dinon ke qafile
is baagh mein ik phool tha teri tarah hansta hua

har cheez hai bazaar mein is haath de us haath le
izzat gai shohrat mili rusva hue charcha hua

mandir gaye masjid gaye peeron faqeeron se mile
ik us ko paane ke liye kya kya kiya kya kya hua

anmol moti pyaar ke duniya chura kar le gai
dil ki haveli ka koi darwaaza tha toota hua

barsaat mein deewar-o-dar ki saari tahreeren mittiin
dhoya bahut mitaa nahin taqdeer ka likkha hua

शबनम के आँसू फूल पर ये तो वही क़िस्सा हुआ
आँखें मिरी भीगी हुई चेहरा तिरा उतरा हुआ

अब इन दिनों मेरी ग़ज़ल ख़ुशबू की इक तस्वीर है
हर लफ़्ज़ ग़ुंचे की तरह खिल कर तिरा चेहरा हुआ

शायद उसे भी ले गए अच्छे दिनों के क़ाफ़िले
इस बाग़ में इक फूल था तेरी तरह हँसता हुआ

हर चीज़ है बाज़ार में इस हाथ दे उस हाथ ले
इज़्ज़त गई शोहरत मिली रुस्वा हुए चर्चा हुआ

मंदिर गए मस्जिद गए पीरों फ़क़ीरों से मिले
इक उस को पाने के लिए क्या क्या किया क्या क्या हुआ

अनमोल मोती प्यार के दुनिया चुरा कर ले गई
दिल की हवेली का कोई दरवाज़ा था टूटा हुआ

बरसात में दीवार-ओ-दर की सारी तहरीरें मिटीं
धोया बहुत मिटता नहीं तक़दीर का लिक्खा हुआ

- Bashir Badr
5 Likes

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari