soye kahaan the aankhon ne takie bhigoye the | सोए कहाँ थे आँखों ने तकिए भिगोए थे

  - Bashir Badr

soye kahaan the aankhon ne takie bhigoye the
ham bhi kabhi kisi ke liye khoob roye the

anganaai mein khade hue beri ke ped se
vo log chalte waqt gale mil ke roye the

har saal zard phoolon ka ik qaafila ruka
us ne jahaan pe dhool atte paanv dhoye the

is haadse se mera ta'alluq nahin koi
mele mein ek saath kai bacche khoye the

aankhon ki kashtiyon mein safar kar rahe hain vo
jin doston ne dil ke safeene duboey the

kal raat main tha mere alaava koi na tha
shaitaan mar gaya tha farishte bhi soye the

सोए कहाँ थे आँखों ने तकिए भिगोए थे
हम भी कभी किसी के लिए ख़ूब रोए थे

अँगनाई में खड़े हुए बेरी के पेड़ से
वो लोग चलते वक़्त गले मिल के रोए थे

हर साल ज़र्द फूलों का इक क़ाफ़िला रुका
उस ने जहाँ पे धूल अटे पाँव धोए थे

इस हादसे से मेरा तअ'ल्लुक़ नहीं कोई
मेले में एक साथ कई बच्चे खोए थे

आँखों की कश्तियों में सफ़र कर रहे हैं वो
जिन दोस्तों ने दिल के सफ़ीने डुबोए थे

कल रात मैं था मेरे अलावा कोई न था
शैतान मर गया था फ़रिश्ते भी सोए थे

  - Bashir Badr

Hug Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Hug Shayari Shayari