ik be-wafa ko pyaar kiya haaye kya kiya | इक बे-वफ़ा को प्यार किया हाए क्या किया - Behzad Lakhnavi

ik be-wafa ko pyaar kiya haaye kya kiya
khud dil ko be-qaraar kiya haaye kya kiya

maaloom tha ki ahad-e-wafaa un ka jhooth hai
is par bhi e'tibaar kiya haaye kya kiya

vo dil ki jis pe qeemat-e-kaunain thi nisaar
nazr-e-nigaah-e-yaar kiya haaye kya kiya

khud ham ne faash faash kiya raaz-e-aashiqi
daaman ko taar taar kiya haaye kya kiya

aahen bhi baar baar bhariin un ke hijr mein
naala bhi baar baar kiya haaye kya kiya

mitne ka gham nahin hai bas itna malaal hi
kyun tera intizaar kiya haaye kya kiya

ham ne to gham ko seene se apne laga liya
gham ne hamein shikaar kiya haaye kya kiya

sayyaad ki raza ye ham aansu na pee sake
uzr-e-gham-bahaar kiya haaye kya kiya

qismat ne aah ham ko ye din bhi dikha diye
qismat pe e'tibaar kiya haaye kya kiya

rangeeni-e-khayaal se kuchh bhi na bach saka
har shay ko pur-bahaar kiya haaye kya kiya

dil ne bhula bhula ke tiri bewafaiyaan
phir ahad ustuvaar kiya haaye kya kiya

un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gila
kyun jabr ikhtiyaar kiya haaye kya kiya

kaafir ki chashm-e-naaz pe kya dil-jigar ka zikr
eimaan tak nisaar kiya haaye kya kiya

kaali ghatta ke uthte hi tauba na rah saki
tauba pe e'tibaar kiya haaye kya kiya

shaam-e-firaq qalb ke daaghoon ko gin liya
taaron ko bhi shumaar kiya haaye kya kiya

bahzaad ki na qadar koi tum ko ho saki
tum ne zaleel-o-khwaar kya haaye kya kiya

इक बे-वफ़ा को प्यार किया हाए क्या किया
ख़ुद दिल को बे-क़रार किया हाए क्या किया

मालूम था कि अहद-ए-वफ़ा उन का झूट है
इस पर भी ए'तिबार किया हाए क्या किया

वो दिल कि जिस पे क़ीमत-ए-कौनैन थी निसार
नज़्र-ए-निगाह-ए-यार किया हाए क्या किया

ख़ुद हम ने फ़ाश फ़ाश किया राज़-ए-आशिक़ी
दामन को तार तार किया हाए क्या किया

आहें भी बार बार भरीं उन के हिज्र में
नाला भी बार बार किया हाए क्या किया

मिटने का ग़म नहीं है बस इतना मलाल ही
क्यूँ तेरा इंतिज़ार किया हाए क्या किया

हम ने तो ग़म को सीने से अपने लगा लिया
ग़म ने हमें शिकार किया हाए क्या किया

सय्याद की रज़ा ये हम आँसू न पी सके
उज़्र-ए-ग़म-बहार किया हाए क्या किया

क़िस्मत ने आह हम को ये दिन भी दिखा दिए
क़िस्मत पे ए'तिबार किया हाए क्या किया

रंगीनी-ए-ख़याल से कुछ भी न बच सका
हर शय को पुर-बहार किया हाए क्या किया

दिल ने भुला भुला के तिरी बेवफ़ाइयाँ
फिर अहद उस्तुवार किया हाए क्या किया

उन के सितम भी सह के न उन से किया गिला
क्यूँ जब्र इख़्तियार किया हाए क्या किया

काफ़िर की चश्म-ए-नाज़ पे क्या दिल-जिगर का ज़िक्र
ईमान तक निसार किया हाए क्या किया

काली घटा के उठते ही तौबा न रह सकी
तौबा पे ए'तिबार किया हाए क्या किया

शाम-ए-फ़िराक़ क़ल्ब के दाग़ों को गिन लिया
तारों को भी शुमार किया हाए क्या किया

'बहज़ाद' की न क़दर कोई तुम को हो सकी
तुम ने ज़लील-ओ-ख़्वार क्या हाए क्या किया

- Behzad Lakhnavi
0 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Behzad Lakhnavi

As you were reading Shayari by Behzad Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Behzad Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari