adoo ke taakne ko tum idhar dekho udhar dekho
magar ham tum ko dekhe jaayein tum chaaho jidhar dekho
ladai se yoon hi to rokte rahte hain ham tum ko
ki dil ka bhed kah deti hai tum chaaho jidhar dekho
adaayein dekhne baithe ho kya aaine mein apni
diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
sawaal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi vaada to kar sakte nahin hain ham magar dekho
na karna tark bekhud mohtasib ke dar se may-khwaari
kahi dhabba laga lena na apne naam par dekho
अदू के ताकने को तुम इधर देखो उधर देखो
मगर हम तुम को देखे जाएं तुम चाहो जिधर देखो
लड़ाई से यूं ही तो रोकते रहते हैं हम तुम को
कि दिल का भेद कह देती है तुम चाहो जिधर देखो
अदाएं देखने बैठे हो क्या आईने में अपनी
दिया है जिस ने तुम जैसे को दिल उस का जिगर देखो
सवाल-ए-वस्ल पर कुछ सोच कर उस ने कहा मुझ से
अभी वादा तो कर सकते नहीं हैं हम मगर देखो
न करना तर्क 'बेख़ुद' मोहतसिब के डर से मय-ख़्वारी
कहीं धब्बा लगा लेना न अपने नाम पर देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bekhud Dehelvi
our suggestion based on Bekhud Dehelvi
As you were reading Dar Shayari Shayari