aashiq hain magar ishq numaayaan nahin rakhte
ham dil ki tarah girebaan nahin rakhte
sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat
dil rakhte hain dil mein koi armaan nahin rakhte
nafrat hai kuchh aisi unhen aashufta-saron se
apni bhi vo zulfo ko pareshaan nahin rakhte
rakhne ko to rakhte hain khabar saare jahaan ki
ik mere hi dil ki vo khabar haan nahin rakhte
ghar kar gaeein dil mein vo mohabbat ki nigaahen
un teeron ka zakhmi hoon jo paikaan nahin rakhte
dil de koi tum ko to kis ummeed par ab de
tum dil to kisi ka bhi meri jaan nahin rakhte
rehta hai nigah-baan mera un ka tasavvur
vo mujh ko akela shab-e-hijraan nahin rakhte
dushman to bahut hazrat-e-naaseh hain hamaare
haan dost koi aap sa naadaan nahin rakhte
dil ho jo pareshaan to dam bhar bhi ne thehre
kuchh baandh ke to gesoo-e-pechaan nahin rakhte
go aur bhi aashiq hain zamaane mein bahut se
be-khud ki tarah ishq ko pinhaan nahin rakhte
आशिक़ हैं मगर इश्क़ नुमायां नहीं रखते
हम दिल की तरह गिरेबां नहीं रखते
सर रखते हैं सर में नहीं सौदा-ए-मोहब्बत
दिल रखते हैं दिल में कोई अरमां नहीं रखते
नफ़रत है कुछ ऐसी उन्हें आशुफ़्ता-सरों से
अपनी भी वो ज़ुल्फों को परेशां नहीं रखते
रखने को तो रखते हैं ख़बर सारे जहां की
इक मेरे ही दिल की वो ख़बर हां नहीं रखते
घर कर गईं दिल में वो मोहब्बत की निगाहें
उन तीरों का जख़्मी हूं जो पैकां नहीं रखते
दिल दे कोई तुम को तो किस उम्मीद पर अब दे
तुम दिल तो किसी का भी मेरी जां नहीं रखते
रहता है निगह-बान मेरा उन का तसव्वुर
वो मुझ को अकेला शब-ए-हिज्रां नहीं रखते
दुश्मन तो बहुत हज़रत-ए-नासेह हैं हमारे
हां दोस्त कोई आप सा नादां नहीं रखते
दिल हो जो परेशान तो दम भर भी ने ठहरे
कुछ बांध के तो गेसू-ए-पेचां नहीं रखते
गो और भी आशिक़ हैं ज़माने में बहुत से
‘बे-ख़ुद की तरह इश्क़ को पिन्हां नहीं रखते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bekhud Dehelvi
our suggestion based on Bekhud Dehelvi
As you were reading Mehboob Shayari Shayari