naye jhagde niraali kaavishein ijaad karte hain | नए झगड़े निराली काविशें ईजाद करते हैं

  - Chakbast Brij Narayan

naye jhagde niraali kaavishein ijaad karte hain
watan ki aabroo ahl-e-watan barbaad karte hain

hawa mein ud ke sair-e-aalam-e-eejaad karte hain
farishte dang hain vo kaam aadam-zaad karte hain

naya maslak naya rang-e-sukhan ijaad karte hain
uroos-e-sheer ko ham qaid se azaad karte hain

mata-e-paas-e-ghairat bul-hawas barbaad karte hain
lab-e-khaamosh ko sharminda-e-faryaad karte hain

hawa-e-taaza pa kar bostaan ko yaad karte hain
aseeraan-e-qafas waqt-e-sehr fariyaad karte hain

zara ai kunj-e-marqad yaad rakhna us hamiiyyat ko
ki ghar veeraan kar ke ham tujhe aabaad karte hain

har ik khisht-e-kuhan afsaana-e-deerina kahti hai
zubaan-e-haal se toote khandar fariyaad karte hain

bala-e-jaan hain ye tasbeeh aur zunnar ke fande
dil-e-haq-been ko ham is qaid se azaad karte hain

azaan dete hain but-khaane mein ja kar shaan-e-momin se
haram ke naara-e-naaqoos ham ijaad karte hain

nikal kar apne qaaleb se naya qaaleb basaaegi
aseeri ke liye ham rooh ko azaad karte hain

mohabbat ke chaman mein majma-e-ahbaab rehta hai
nayi jannat isee duniya mein ham aabaad karte hain

nahin ghatti meri aankhon mein taarikee shab-e-gham ki
ye taare raushni apni abas barbaad karte hain

thake-maande musaafir zulmat-e-shaam-e-ghareebaan mein
bahaar-e-jalwa-e-subh-e-watan ko yaad karte hain

dil-e-naashaad rota hai zabaan uf kar nahin sakti
koi sunta nahin yun be-nava fariyaad karte hain

janaab-e-sheikh ko ye maskh hai yaad-e-ilaahi ki
khabar hoti nahin dil ko zabaan se yaad karte hain

nazar aati hai duniya ik ibaadat-gaah-e-nooraani
sehar ka waqt hai bande khuda ko yaad karte hain

sabq umr-e-ravaan ka dil-nasheen hone nahin paata
hamesha bhoolte jaate hain jo kuchh yaad karte hain

zamaane ka moallim imtihaan un ka nahin karta
jo aankhen khol kar ye dars-e-hasti yaad karte hain

adab ta'leem ka jauhar hai zewar hai jawaani ka
wahi shaagird hain jo khidmat-e-ustaad karte hain

na jaani qadr teri umr-e-rafta ham ne college mein
nikal aate hain aansu ab tujhe jab yaad karte hain

नए झगड़े निराली काविशें ईजाद करते हैं
वतन की आबरू अहल-ए-वतन बरबाद करते हैं

हवा में उड़ के सैर-ए-आलम-ए-ईजाद करते हैं
फ़रिश्ते दंग हैं वो काम आदम-ज़ाद करते हैं

नया मस्लक नया रंग-ए-सुख़न ईजाद करते हैं
उरूस-ए-शेर को हम क़ैद से आज़ाद करते हैं

मता-ए-पास-ए-ग़ैरत‍‍‍ बुल-हवस बरबाद करते हैं
लब-ए-ख़ामोश को शर्मिंदा-ए-फ़र्याद करते हैं

हवा-ए-ताज़ा पा कर बोस्ताँ को याद करते हैं
असीरान-ए-क़फ़स वक़्त-ए-सहर फ़रियाद करते हैं

ज़रा ऐ कुंज-ए-मरक़द याद रखना उस हमिय्यत को
कि घर वीरान कर के हम तुझे आबाद करते हैं

हर इक ख़िश्त-ए-कुहन अफ़्साना-ए-देरीना कहती है
ज़बान-ए-हाल से टूटे खंडर फ़रियाद करते हैं

बला-ए-जाँ हैं ये तस्बीह और ज़ुन्नार के फंदे
दिल-ए-हक़-बीं को हम इस क़ैद से आज़ाद करते हैं

अज़ाँ देते हैं बुत-ख़ाने में जा कर शान-ए-मोमिन से
हरम के नारा-ए-नाक़ूस हम ईजाद करते हैं

निकल कर अपने क़ालिब से नया क़ालिब बसाएगी
असीरी के लिए हम रूह को आज़ाद करते हैं

मोहब्बत के चमन में मजमा-ए-अहबाब रहता है
नई जन्नत इसी दुनिया में हम आबाद करते हैं

नहीं घटती मिरी आँखों में तारीकी शब-ए-ग़म की
ये तारे रौशनी अपनी अबस बरबाद करते हैं

थके-माँदे मुसाफ़िर ज़ुल्मत-ए-शाम-ए-ग़रीबाँ में
बहार-ए-जल्वा-ए-सुब्ह-ए-वतन को याद करते हैं

दिल-ए-नाशाद रोता है ज़बाँ उफ़ कर नहीं सकती
कोई सुनता नहीं यूँ बे-नवा फ़रियाद करते हैं

जनाब-ए-शैख़ को ये मश्क़ है याद-ए-इलाही की
ख़बर होती नहीं दिल को ज़बाँ से याद करते हैं

नज़र आती है दुनिया इक इबादत-गाह-ए-नूरानी
सहर का वक़्त है बंदे ख़ुदा को याद करते हैं

सबक़ उम्र-ए-रवाँ का दिल-नशीं होने नहीं पाता
हमेशा भूलते जाते हैं जो कुछ याद करते हैं

ज़माने का मोअल्लिम इम्तिहाँ उन का नहीं करता
जो आँखें खोल कर ये दर्स-ए-हस्ती याद करते हैं

अदब ता'लीम का जौहर है ज़ेवर है जवानी का
वही शागिर्द हैं जो ख़िदमत-ए-उस्ताद करते हैं

न जानी क़द्र तेरी उम्र-ए-रफ़्ता हम ने कॉलेज में
निकल आते हैं आँसू अब तुझे जब याद करते हैं

  - Chakbast Brij Narayan

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chakbast Brij Narayan

As you were reading Shayari by Chakbast Brij Narayan

Similar Writers

our suggestion based on Chakbast Brij Narayan

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari