ab bhi ye masroof duniya sust hai raftaar mein | अब भी ये मसरूफ़ दुनिया सुस्त है रफ़्तार में

  - Charagh Sharma

ab bhi ye masroof duniya sust hai raftaar mein
kal ki khabren padh rahi hai aaj ke akhbaar mein

ek ghar ki chaar deewaari mein gum hain do makaan
roz eenten ug rahi hain paanchvi deewaar mein

us haseen chahre pe qaabez zulf se ladna hai to
aaine se dhaar kariye dhoop ki talwaar mein

inke andar maut ka dar daal ye maasoom log
sunte aaye hain ki sab jaiz hai jang aur pyaar mein

अब भी ये मसरूफ़ दुनिया सुस्त है रफ़्तार में
कल की ख़बरें पढ़ रही है आज के अख़बार में

एक घर की चार दीवारी में गुम हैं दो मकान
रोज़ ईंटें उग रही हैं पांचवी दीवार में

उस हसीं चहरे पे क़ाबिज़ ज़ुल्फ़ से लड़ना है तो
आइने से धार करिए धूप की तलवार में

इनके अंदर मौत का डर डाल ये मासूम लोग
सुनते आए हैं कि सब जाइज़ है जंग और प्यार में

  - Charagh Sharma

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Charagh Sharma

As you were reading Shayari by Charagh Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Charagh Sharma

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari