aao husn-e-yaar ki baatein karein
zulf ki rukhsaar ki baatein karein
zulf-e-amber-baar ke qisse sunaayein
turra-e-tarraar ki baatein karein
phool barsaayein bisaat aish par
roz vasl yaar ki baatein karein
naqd-e-jaan le kar chalen us bazm mein
misr ke bazaar ki baatein karein
un ke kooche mein jo guzri hai kahi
saaya-e-deewar ki baatein karein
aakhiri saaat shab-e-rukhsat ki hai
aao ab to pyaar ki baatein karein
आओ हुस्न-ए-यार की बातें करें
ज़ुल्फ़ की रुख़्सार की बातें करें
ज़ुल्फ़-ए-अम्बर-बार के क़िस्से सुनाएँ
तुर्रा-ए-तर्रार की बातें करें
फूल बरसाएँ बिसात ऐश पर
रोज़ वस्ल यार की बातें करें
नक़्द-ए-जाँ ले कर चलें उस बज़्म में
मिस्र के बाज़ार की बातें करें
उन के कूचे में जो गुज़री है कहीं
साया-ए-दीवार की बातें करें
आख़िरी साअत शब-ए-रुख़्सत की है
आओ अब तो प्यार की बातें करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chiragh Hasan Hasrat
our suggestion based on Chiragh Hasan Hasrat
As you were reading Rose Shayari Shayari