abhi hamaari mohabbat kisi ko kya maaloom | अभी हमारी मोहब्बत किसी को क्या मालूम

  - Dagh Dehlvi

abhi hamaari mohabbat kisi ko kya maaloom
kisi ke dil ki haqeeqat kisi ko kya maaloom

yaqeen to ye hai vo khat ka jawaab likkhenge
magar navishta-e-qismat kisi ko kya maaloom

b-zaahir un ko hayaa-daar log samjhe hain
haya mein jo hai sharaarat kisi ko kya maaloom

qadam qadam pe tumhaare hamaare dil ki tarah
basi hui hai qayamat kisi ko kya maaloom

ye ranj o aish hue hijr o vasl mein ham ko
kahaan hai dozakh o jannat kisi ko kya maaloom

jo sakht baat sune dil to toot jaata hai
is aaine ki nazaakat kisi ko kya maaloom

kiya karein vo sunaane ko pyaar ki baatein
unhen hai mujh se adavat kisi ko kya maaloom

khuda kare na fanse daam-e-ishq mein koi
uthaai hai jo museebat kisi ko kya maaloom

abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam mein
uthaayenge vo qayamat kisi ko kya maaloom

janaab-e-'daagh ke mashrab ko ham se to poocho
chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya maaloom

अभी हमारी मोहब्बत किसी को क्या मालूम
किसी के दिल की हक़ीक़त किसी को क्या मालूम

यक़ीं तो ये है वो ख़त का जवाब लिक्खेंगे
मगर नविश्ता-ए-क़िस्मत किसी को क्या मालूम

ब-ज़ाहिर उन को हया-दार लोग समझे हैं
हया में जो है शरारत किसी को क्या मालूम

क़दम क़दम पे तुम्हारे हमारे दिल की तरह
बसी हुई है क़यामत किसी को क्या मालूम

ये रंज ओ ऐश हुए हिज्र ओ वस्ल में हम को
कहाँ है दोज़ख़ ओ जन्नत किसी को क्या मालूम

जो सख़्त बात सुने दिल तो टूट जाता है
इस आईने की नज़ाकत किसी को क्या मालूम

किया करें वो सुनाने को प्यार की बातें
उन्हें है मुझ से अदावत किसी को क्या मालूम

ख़ुदा करे न फँसे दाम-ए-इश्क़ में कोई
उठाई है जो मुसीबत किसी को क्या मालूम

अभी तो फ़ित्ने ही बरपा किए हैं आलम में
उठाएँगे वो क़यामत किसी को क्या मालूम

जनाब-ए-'दाग़' के मशरब को हम से तो पूछो
छुपे हुए हैं ये हज़रत किसी को क्या मालूम

  - Dagh Dehlvi

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari