is ada se vo jafaa karte hain | इस अदा से वो जफ़ा करते हैं - Dagh Dehlvi

is ada se vo jafaa karte hain
koi jaane ki wafa karte hain

yun wafa ahad-e-wafaa karte hain
aap kya kahte hain kya karte hain

hum ko chhedoge to pachtayoge
hansne waalon se hansa karte hain

nama-bar tujh ko saleeqa hi nahin
kaam baaton mein bana karte hain

chaliye aashiq ka janaaza utha
aap baithe hue kya karte hain

ye bataata nahin koi mujh ko
dil jo aata hai to kya karte hain

husn ka haq nahin rehta baaki
har ada mein vo ada karte hain

teer aakhir badl-e-kaafir hai
hum akheer aaj dua karte hain

rote hain gair ka rona paharon
ye hasi mujh se hansa karte hain

is liye dil ko laga rakha hai
is mein mehboob raha karte hain

tum miloge na wahan bhi hum se
hashr se pehle gila karte hain

jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko
kya vo shokhi se haya karte hain

us ne ehsaan jata kar ye kaha
aap kis munh se gila karte hain

roz lete hain naya dil dilbar
nahin maaloom ye kya karte hain

daagh tu dekh to kya hota hai
jabr par sabr kiya karte hain

इस अदा से वो जफ़ा करते हैं
कोई जाने कि वफ़ा करते हैं

यूँ वफ़ा अहद-ए-वफ़ा करते हैं
आप क्या कहते हैं क्या करते हैं

हम को छेड़ोगे तो पछताओगे
हँसने वालों से हँसा करते हैं

नामा-बर तुझ को सलीक़ा ही नहीं
काम बातों में बना करते हैं

चलिए आशिक़ का जनाज़ा उट्ठा
आप बैठे हुए क्या करते हैं

ये बताता नहीं कोई मुझ को
दिल जो आता है तो क्या करते हैं

हुस्न का हक़ नहीं रहता बाक़ी
हर अदा में वो अदा करते हैं

तीर आख़िर बदल-ए-काफ़िर है
हम अख़ीर आज दुआ करते हैं

रोते हैं ग़ैर का रोना पहरों
ये हँसी मुझ से हँसा करते हैं

इस लिए दिल को लगा रक्खा है
इस में महबूब रहा करते हैं

तुम मिलोगे न वहाँ भी हम से
हश्र से पहले गिला करते हैं

झाँक कर रौज़न-ए-दर से मुझ को
क्या वो शोख़ी से हया करते हैं

उस ने एहसान जता कर ये कहा
आप किस मुँह से गिला करते हैं

रोज़ लेते हैं नया दिल दिलबर
नहीं मालूम ये क्या करते हैं

'दाग़' तू देख तो क्या होता है
जब्र पर सब्र किया करते हैं

- Dagh Dehlvi
5 Likes

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari