un ke ik jaan-nisaar ham bhi hain | उन के इक जाँ-निसार हम भी हैं

  - Dagh Dehlvi

un ke ik jaan-nisaar ham bhi hain
hain jahaan sau hazaar ham bhi hain

tum bhi bechain ham bhi hain bechain
tum bhi ho be-qaraar ham bhi hain

ai falak kah to kya iraada hai
aish ke khwaast-gaar ham bhi hain

kheench laayega jazb-e-dil un ko
hama tan intizaar ham bhi hain

bazm-e-dushman mein le chala hai dil
kaise be-ikhtiyaar ham bhi hain

shehar khaali kiye dukaaan kaisi
ek hi baada-khwaar ham bhi hain

sharm samjhe tire taghaaful ko
waah kya hoshiyaar ham bhi hain

haath ham se milaao ai moosa
aashiq-e-roo-e-yaar ham bhi hain

khwahish-e-baada-e-tuhur nahin
kaise parhez-gaar ham bhi hain

tum agar apni goon ke ho ma'shooq
apne matlab ke yaar ham bhi hain

jis ne chaaha phansa liya ham ko
dilbaron ke shikaar ham bhi hain

aayi may-khaane se ye kis ki sada
laao yaaron ke yaar ham bhi hain

le hi to legi dil nigaah tiri
har tarah hoshiyaar ham bhi hain

idhar aa kar bhi faatiha padh lo
aaj zer-e-mazaar ham bhi hain

gair ka haal poochiye ham se
us ke jalse ke yaar ham bhi hain

kaun sa dil hai jis mein daagh nahin
ishq mein yaadgaar ham bhi hain

उन के इक जाँ-निसार हम भी हैं
हैं जहाँ सौ हज़ार हम भी हैं

तुम भी बेचैन हम भी हैं बेचैन
तुम भी हो बे-क़रार हम भी हैं

ऐ फ़लक कह तो क्या इरादा है
ऐश के ख़्वास्त-गार हम भी हैं

खींच लाएगा जज़्ब-ए-दिल उन को
हमा तन इंतिज़ार हम भी हैं

बज़्म-ए-दुश्मन में ले चला है दिल
कैसे बे-इख़्तियार हम भी हैं

शहर ख़ाली किए दुकाँ कैसी
एक ही बादा-ख़्वार हम भी हैं

शर्म समझे तिरे तग़ाफ़ुल को
वाह क्या होशियार हम भी हैं

हाथ हम से मिलाओ ऐ मूसा
आशिक़-ए-रू-ए-यार हम भी हैं

ख़्वाहिश-ए-बादा-ए-तुहूर नहीं
कैसे परहेज़-गार हम भी हैं

तुम अगर अपनी गूँ के हो मा'शूक़
अपने मतलब के यार हम भी हैं

जिस ने चाहा फँसा लिया हम को
दिलबरों के शिकार हम भी हैं

आई मय-ख़ाने से ये किस की सदा
लाओ यारों के यार हम भी हैं

ले ही तो लेगी दिल निगाह तिरी
हर तरह होशियार हम भी हैं

इधर आ कर भी फ़ातिहा पढ़ लो
आज ज़ेर-ए-मज़ार हम भी हैं

ग़ैर का हाल पूछिए हम से
उस के जलसे के यार हम भी हैं

कौन सा दिल है जिस में 'दाग़' नहीं
इश्क़ में यादगार हम भी हैं

  - Dagh Dehlvi

Kitaaben Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Kitaaben Shayari Shayari