vo zamaana nazar nahin aata | वो ज़माना नज़र नहीं आता

  - Dagh Dehlvi

vo zamaana nazar nahin aata
kuchh thikaana nazar nahin aata

jaan jaati dikhaai deti hai
un ka aana nazar nahin aata

ishq dar-parda phookta hai aag
ye jalana nazar nahin aata

ik zamaana meri nazar mein raha
ik zamaana nazar nahin aata

dil ne is bazm mein bitha to diya
uth ke jaana nazar nahin aata

rahiye mushtaqq-e-jalwa-e-deedaar
ham ne maana nazar nahin aata

le chalo mujh ko raah-ravaan-e-adam
yaa thikaana nazar nahin aata

dil pe baitha kahaan se teer-e-nigaah
ye nishaana nazar nahin aata

tum milaoge khaak mein ham ko
dil milaana nazar nahin aata

aap hi dekhte hain ham ko to
dil ka aana nazar nahin aata

dil-e-pur-aarzoo luta ai daagh
vo khazana nazar nahin aata

वो ज़माना नज़र नहीं आता
कुछ ठिकाना नज़र नहीं आता

जान जाती दिखाई देती है
उन का आना नज़र नहीं आता

इश्क़ दर-पर्दा फूँकता है आग
ये जलाना नज़र नहीं आता

इक ज़माना मिरी नज़र में रहा
इक ज़माना नज़र नहीं आता

दिल ने इस बज़्म में बिठा तो दिया
उठ के जाना नज़र नहीं आता

रहिए मुश्ताक़-ए-जल्वा-ए-दीदार
हम ने माना नज़र नहीं आता

ले चलो मुझ को राह-रवान-ए-अदम
याँ ठिकाना नज़र नहीं आता

दिल पे बैठा कहाँ से तीर-ए-निगाह
ये निशाना नज़र नहीं आता

तुम मिलाओगे ख़ाक में हम को
दिल मिलाना नज़र नहीं आता

आप ही देखते हैं हम को तो
दिल का आना नज़र नहीं आता

दिल-ए-पुर-आरज़ू लुटा ऐ 'दाग़'
वो ख़ज़ाना नज़र नहीं आता

  - Dagh Dehlvi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari