peene den may-kashon ko jahaan bhi piya karein | पीने दें मय-कशों को जहाँ भी पिया करें - Deepak Sharma Deep

peene den may-kashon ko jahaan bhi piya karein
sajda wuzoo karein na karein bas dua karein

kaanon ne kya suna tha zabaanon ne kya kaha
insaaniyat ghati hai yahan kam mila karein

roo-posh phir rahe hain riyaasat ke baadshaah
gaddi pe phir ye kaun hai chaliye pata karein

amn-e-jahan ko jhonk di apni javaaniyaan
is se ziyaada deep bhala aur kya karein

पीने दें मय-कशों को जहाँ भी पिया करें
सज्दा वुज़ू करें न करें बस दुआ करें

कानों ने क्या सुना था ज़बानों ने क्या कहा
इंसानियत घटी है यहाँ कम मिला करें

रू-पोश फिर रहे हैं रियासत के बादशाह
गद्दी पे फिर ये कौन है चलिए पता करें

अम्न-ए-जहाँ को झोंक दी अपनी जवानियाँ
इस से ज़ियादा 'दीप' भला और क्या करें

- Deepak Sharma Deep
0 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Deepak Sharma Deep

As you were reading Shayari by Deepak Sharma Deep

Similar Writers

our suggestion based on Deepak Sharma Deep

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari