aaj sadkon par likhe hain saikron naare na dekh | आज सड़कों पर लिखे हैं सैकड़ों नारे न देख

  - Dushyant Kumar

aaj sadkon par likhe hain saikron naare na dekh
par andhera dekh tu aakaash ke taare na dekh

ek dariya hai yahaan par door tak faila hua
aaj apne baazuon ko dekh patwaarein na dekh

ab yakeenan thos hai dharti haqeeqat ki tarah
yah haqeeqat dekh lekin khauf ke maare na dekh

ve sahaare bhi nahin ab jang ladni hai tujhe
kat chuke jo haath un haathon mein talwaarein na dekh

ye dhundhlaka hai nazar ka tu mahaj mayus hai
rojno ko dekh deewaron mein deewarein na dekh

raakh kitni raakh hai chaaron taraf bikhri hui
raakh mein chingaariyaan hi dekh angaare na dekh

आज सड़कों पर लिखे हैं सैकड़ों नारे न देख
पर अन्धेरा देख तू आकाश के तारे न देख

एक दरिया है यहां पर दूर तक फैला हुआ
आज अपने बाज़ुओं को देख पतवारें न देख

अब यकीनन ठोस है धरती हक़ीक़त की तरह
यह हक़ीक़त देख लेकिन ख़ौफ़ के मारे न देख

वे सहारे भी नहीं अब जंग लड़नी है तुझे
कट चुके जो हाथ उन हाथों में तलवारें न देख

ये धुन्धलका है नज़र का तू महज़ मायूस है
रोजनों को देख दीवारों में दीवारें न देख

राख़ कितनी राख़ है, चारों तरफ बिख़री हुई
राख़ में चिनगारियां ही देख अंगारे न देख

  - Dushyant Kumar

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dushyant Kumar

As you were reading Shayari by Dushyant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dushyant Kumar

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari