jaane kis kis ka khayal aaya hai
is samundar mein ubaal aaya hai
ek baccha tha hawa ka jhonka
saaf paani ko khangaal aaya hai
ek dhela to wahin atka tha
ek tu aur uchaal aaya hai
kal to nikla tha bahut saj-dhaj ke
aaj lautaa to nidhaal aaya hai
ye nazar hai ki koi mausam hai
ye saba hai ki vabaal aaya hai
ham ne socha tha jawaab aayega
ek behooda sawaal aaya hai
जाने किस किस का ख़याल आया है
इस समुंदर में उबाल आया है
एक बच्चा था हवा का झोंका
साफ़ पानी को खँगाल आया है
एक ढेला तो वहीं अटका था
एक तू और उछाल आया है
कल तो निकला था बहुत सज-धज के
आज लौटा तो निढाल आया है
ये नज़र है कि कोई मौसम है
ये सबा है कि वबाल आया है
हम ने सोचा था जवाब आएगा
एक बेहूदा सवाल आया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dushyant Kumar
our suggestion based on Dushyant Kumar
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari