bana denge duniya ko ik din sharaabi | बना देंगी दुनिया को इक दिन शराबी

  - Ehsan Danish

bana denge duniya ko ik din sharaabi
ye bad-mast aankhen ye dore gulaabi

hain qasr-e-mohabbat ke memaar dono
nigaahon ka dhoka dilon ki kharaabi

ye kufr-e-mujassam ye juhad-e-saraapa
ye gunjaan gesu ye roo-e-kitaabi

har ik shay mein tum muskuraate ho goya
hazaaron hijaabo mein ye be-hijaabi

abhi tak nigaahon pe chhaai hui hai
vo masti mein doobi hui neem-khwabi

abas ishq ko intizaar-e-asar hai
asar tak kahaan aah ki baaryaabi

b-juz us ke ehsaan ko kya samjhiye
bahaaron mein khoya hua ik sharaabi

बना देंगी दुनिया को इक दिन शराबी
ये बद-मस्त आँखें ये डोरे गुलाबी

हैं क़स्र-ए-मोहब्बत के मेमार दोनों
निगाहों का धोका दिलों की ख़राबी

ये कुफ़्र-ए-मुजस्सम ये जुहद-ए-सरापा
ये गुंजान गेसू ये रू-ए-किताबी

हर इक शय में तुम मुस्कुराते हो गोया
हज़ारों हिजाबों में ये बे-हिजाबी

अभी तक निगाहों पे छाई हुई है
वो मस्ती में डूबी हुई नीम-ख़्वाबी

अबस इश्क़ को इंतिज़ार-ए-असर है
असर तक कहाँ आह की बारयाबी

ब-जुज़ उस के 'एहसान' को क्या समझिए
बहारों में खोया हुआ इक शराबी

  - Ehsan Danish

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari