mere mitaane ki tadbeer thi hijaab na tha
wagarana kaun se din husn be-naqaab na tha
agarche naazkash-e-saaghar-e-sharaab na tha
khumaar-khaane mein mujh sa koi kharab na tha
khula tilism-e-tamanna to khul gaya ye bhi
ki ik fareb-e-nazar tha tira shabaab na tha
khayal-e-dost tiri jalwa-taabiyo ki qasam
jo tu na tha meri duniya mein aftaab na tha
tire firaq ki raatein theen is qadar maghoom
ki dagh-e-khaatir-e-mahzoon tha mahtaab na tha
bura ho naala-e-paiham ka kuchh dinon pehle
khamosh raat ke dil mein ye pech-o-taab na tha
nigaah milte hi ghash kha ke gir padeen nazrein
thi ek barq-e-mushakkal tira shabaab na tha
azal ke din se hain ham mast-e-jalwa-e-saaqi
hamaare saamne kis roz aftaab na tha
kuchh apne saaz-e-nafs ki na qadr ki tu ne
ki is rabaab se behtar koi rabaab na tha
dil-e-kharaab ka ehsaan ab khuda-haafiz
kharab tha magar aisa kabhi kharab na tha
मिरे मिटाने की तदबीर थी हिजाब न था
वगरना कौन से दिन हुस्न बे-नक़ाब न था
अगरचे नाज़कश-ए-साग़र-ए-शराब न था
ख़ुमार-ख़ाने में मुझ सा कोई ख़राब न था
खुला तिलिस्म-ए-तमन्ना तो खुल गया ये भी
कि इक फ़रेब-ए-नज़र था तिरा शबाब न था
ख़याल-ए-दोस्त तिरी जल्वा-ताबियों की क़सम
जो तू न था मिरी दुनिया में आफ़्ताब न था
तिरे फ़िराक़ की रातें थीं इस क़दर मग़्मूम
कि दाग़-ए-ख़ातिर-ए-महज़ूँ था माहताब न था
बुरा हो नाला-ए-पैहम का कुछ दिनों पहले
ख़मोश रात के दिल में ये पेच-ओ-ताब न था
निगाह मिलते ही ग़श खा के गिर पड़ीं नज़रें
थी एक बर्क़-ए-मुशक्कल तिरा शबाब न था
अज़ल के दिन से हैं हम मस्त-ए-जल्वा-ए-साक़ी
हमारे सामने किस रोज़ आफ़्ताब न था
कुछ अपने साज़-ए-नफ़स की न क़द्र की तू ने
कि इस रबाब से बेहतर कोई रबाब न था
दिल-ए-ख़राब का 'एहसान' अब ख़ुदा-हाफ़िज़
ख़राब था मगर ऐसा कभी ख़राब न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Judai Shayari Shayari