dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf | दिल की रग़बत है जब आप ही की तरफ़

  - Ehsan Danish

dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf
kis liye aankh uthati kisi ki taraf

kaisi uljhan he baazi-gah-e-shauq mein
ham hain in ki taraf vo kisi ki taraf

sirf ashk-o-tabassum mein uljhe rahe
ham ne dekha nahin zindagi ki taraf

ham jo ghol-e-baayaabaan se waqif nahin
chal diye door ki raushni ki taraf

dair-o-kaaba se pyaasi jabeenen liye
aa gaye ham tiri bandagi ki taraf

raat dhalti jab un ka khayal aa gaya
tuktuki bandh gai chaandni ki taraf

jab na qasd-e-khudi ke dariche khule
ahl-e-dil ho liye be-khudi ki taraf

ham ne dil ki lagi un se ki thi bayaan
baat vo le gaye dil-lagi ki taraf

jaada-e-aagahi par badi bheed thi
saikron mud gaye gumrahi ki taraf

hain mere halka-e-ilm mein bil-yaqeen
aasmaan ke payaam aadmi ki taraf

un ke jalvo ki jaanib nazar uth gai
mauj thi badh gai chaandni ki taraf

kaun sa jurm hai kya sitam ho gaya
aankh agar uth gai aap hi ki taraf

jaane vo multafit hoon kidhar bazm mein
aansuon ki taraf ya hasi ki taraf

us ke pindaar-e-khud-aagahi par na ja
dekh insaan ki bechaargi ki taraf

apne maahol mein kyun andhera karein
der tak dekh kar raushni ki taraf

maut ki raah aasaan ho jaayegi
pyaar se dekhiye zindagi ki taraf

ham junoon-mand bhi itne waqif to hain
aql ka rukh hai waarftagi ki taraf

shaayri ki kisi manzil-e-dard mein
ik dareecha hai paighambari ki taraf

jaane aankhon ne aankhon se kya kuchh kaha
zindagi jhuk gai zindagi ki taraf

daanish inkaar khaaliq se hota nahin
dekhta hoon main jab aadmi ki taraf

दिल की रग़बत है जब आप ही की तरफ़
किस लिए आँख उठती किसी की तरफ़

कैसी उलझन हे बाज़ी-गह-ए-शौक़ में
हम हैं इन की तरफ़ वो किसी की तरफ़

सिर्फ़ अश्क-ओ-तबस्सुम में उलझे रहे
हम ने देखा नहीं ज़िंदगी की तरफ़

हम जो ग़ोल-ए-बायाबाँ से वाक़िफ़ नहीं
चल दिए दूर की रौशनी की तरफ़

दैर-ओ-काबा से प्यासी जबीनें लिए
आ गए हम तिरी बंदगी की तरफ़

रात ढलते जब उन का ख़याल आ गया
टुकटुकी बंध गई चाँदनी की तरफ़

जब न क़स्द-ए-ख़ुदी के दरीचे खुले
अहल-ए-दिल हो लिए बे-ख़ुदी की तरफ़

हम ने दिल की लगी उन से की थी बयाँ
बात वो ले गए दिल-लगी की तरफ़

जादा-ए-आगही पर बड़ी भीड़ थी
सैकड़ों मुड़ गए गुमरही की तरफ़

हैं मिरे हल्क़ा-ए-इल्म में बिल-यक़ीं
आसमाँ के पयाम आदमी की तरफ़

उन के जल्वों की जानिब नज़र उठ गई
मौज थी बढ़ गई चाँदनी की तरफ़

कौन सा जुर्म है क्या सितम हो गया
आँख अगर उठ गई आप ही की तरफ़

जाने वो मुल्तफ़ित हूँ किधर बज़्म में
आँसुओं की तरफ़ या हँसी की तरफ़

उस के पिंदार-ए-ख़ुद-आगही पर न जा
देख इंसाँ की बेचारगी की तरफ़

अपने माहौल में क्यूँ अँधेरा करें
देर तक देख कर रौशनी की तरफ़

मौत की राह आसान हो जाएगी
प्यार से देखिए ज़िंदगी की तरफ़

हम जुनूँ-मंद भी इतने वाक़िफ़ तो हैं
अक़्ल का रुख़ है वारफ़्तगी की तरफ़

शाइरी की किसी मंज़िल-ए-दर्द में
इक दरीचा है पैग़म्बरी की तरफ़

जाने आँखों ने आँखों से क्या कुछ कहा
ज़िंदगी झुक गई ज़िंदगी की तरफ़

'दानिश' इंकार ख़ालिक़ से होता नहीं
देखता हूँ मैं जब आदमी की तरफ़

  - Ehsan Danish

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari