tauba ki naazishon pe sitam dhaa ke pee gaya
pee us ne jab kaha to main ghabra ke pee gaya
dil hi to hai uthaaye kahaan tak gham-o-alam
main roz ke malaal se ukta ke pee gaya
theen laakh garche mahshar o marqad ki uljhane
gutthi ko zabt-e-shauq ki suljhaa ke pee gaya
may-khaana-e-bahaar mein muddat ka tishna-lab
saaqi khata-muaaf khata kha ke pee gaya
niyyat nahin kharab na aadi hoon ai nadeem
aalaam-e-rozgaar se tang aa ke pee gaya
saaqi ke husn-e-deeda-e-may-goon ke saamne
main jalwa-e-bahisht ko thukra ke pee gaya
utha jo abr dil ki umangein chamak uthiin
laharaayein bijliyaan to main lahara ke pee gaya
dil kuchh suboot-e-hifz-e-shari'at na de saka
saaqi ke lutf-e-khaas pe itra ke pee gaya
तौबा की नाज़िशों पे सितम ढा के पी गया
''पी''! उस ने जब कहा तो मैं घबरा के पी गया
दिल ही तो है उठाए कहाँ तक ग़म-ओ-अलम
मैं रोज़ के मलाल से उकता के पी गया
थीं लाख गरचे महशर ओ मरक़द की उलझनें
गुत्थी को ज़ब्त-ए-शौक़ की सुलझा के पी गया
मय-ख़ाना-ए-बहार में मुद्दत का तिश्ना-लब
साक़ी ख़ता-मुआफ़! ख़ता खा के पी गया
निय्यत नहीं ख़राब न आदी हूँ ऐ नदीम!
''आलाम-ए-रोज़गार से तंग आ के पी गया''!
साक़ी के हुस्न-ए-दीदा-ए-मय-गूँ के सामने
मैं जल्वा-ए-बहिश्त को ठुकरा के पी गया
उट्ठा जो अब्र दिल की उमंगें चमक उठीं
लहराईं बिजलियाँ तो मैं लहरा के पी गया
दिल कुछ सुबूत-ए-हिफ़्ज़-ए-शरीअत न दे सका
साक़ी के लुत्फ़-ए-ख़ास पे इतरा के पी गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Zulm Shayari Shayari