rindaan-e-tishna-kaam ko ja kar khabar karein | रिंदान-ए-तिश्ना-काम को जा कर ख़बर करें

  - Ehsan Danish

rindaan-e-tishna-kaam ko ja kar khabar karein
aayi bahaar abr-e-karam par nazar karein

hoon mufail zaroor magar ai gunaah-e-ishq
ab ashk bhi nahin hain jo daaman ko tar karein

be-wajh kab hai pursish-e-haal-e-shab-e-firaq
maqsad ye hai izaafa-e-dard-e-jigar karein

furqat ke din hain saaqi-e-may-kash-nawaaz uth
kyun intizaar-e-mausam-e-deewana-gar karein

mujh par utha rahe hain jo mehfil mein ungaliyaan
apni haqeeqaton pe to aakhir nazar karein

ka'be mein khaamoshi hai sanam-khaane mein sukoot
soorat-parast ab tire sajda kidhar karein

uf re jamaal-e-jalwa-e-jaanaan ki taabishein
dekhen unhen ki maatam-e-taab-e-nazar karein

auraq-e-do-jahaan pe bhi hoga na ikhtitaam
ehsaan sarguzasht-e-alam mukhtasar karein

रिंदान-ए-तिश्ना-काम को जा कर ख़बर करें
आई बहार अब्र-ए-करम पर नज़र करें

हूँ मुन्फ़इल ज़रूर मगर ऐ गुनाह-ए-इश्क़
अब अश्क भी नहीं हैं जो दामन को तर करें

बे-वज्ह कब है पुर्सिश-ए-हाल-ए-शब-ए-फ़िराक़
मक़्सद ये है इज़ाफ़ा-ए-दर्द-ए-जिगर करें

फ़ुर्सत के दिन हैं साक़ी-ए-मय-कश-नवाज़ उठ
क्यूँ इंतिज़ार-ए-मौसम-ए-दीवाना-गर करें

मुझ पर उठा रहे हैं जो महफ़िल में उँगलियाँ
अपनी हक़ीक़तों पे तो आख़िर नज़र करें

का'बे में ख़ामोशी है सनम-ख़ाने में सुकूत
सूरत-परस्त अब तिरे सज्दा किधर करें

उफ़ रे जमाल-ए-जल्वा-ए-जानाँ की ताबिशें
देखें उन्हें कि मातम-ए-ताब-ए-नज़र करें

औराक़-ए-दो-जहाँ पे भी होगा न इख़्तिताम
'एहसान' सरगुज़श्त-ए-अलम मुख़्तसर करें

  - Ehsan Danish

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari