wafa ka ahad tha dil ko sambhaalne ke liye | वफ़ा का अहद था दिल को सँभालने के लिए

  - Ehsan Danish

wafa ka ahad tha dil ko sambhaalne ke liye
vo hans pade mujhe mushkil mein daalne ke liye

bandha hua hai bahaaron ka ab wahin taanta
jahaan ruka tha main kaante nikaalne ke liye

koi naseem ka naghma koi shameem ka raag
fazaa ko amn ke qaaleb mein dhaalne ke liye

khuda na karda zameen paanv se agar khiski
badhenge tund bagule sambhaalne ke liye

utar pade hain kidhar se ye aandhiyon ke juloos
samundron se jazeera nikaalne ke liye

tire saleeqa-e-tarteeb-e-nau ka kya kehna
humeen the qarya-e-dil se nikaalne ke liye

kabhi hamaari zaroorat padegi duniya ko
dilon ki barf ko sholoon mein dhaalne ke liye

ye sho'bde hi sahi kuchh fusoon-garon ko bulao
nayi fazaa mein sitaare uchaalne ke liye

hai sirf ham ko tire khaal-o-khud ka andaaza
ye aaine tu hain hairat mein daalne ke liye

na jaane kitni masafat se aayega suraj
nigaar-e-shab ka janaaza nikaalne ke liye

main pesh-rau hoon isee khaak se ugenge charaagh
nigaah-o-dil ke ufuq ko ujaalne ke liye

fasil-e-shab se koi haath badhne waala hai
fazaa ki jeb se suraj nikaalne ke liye

kuein mein fenk ke pachta raha hoon ai daanish
kamand thi jo minaaron par daalne ke liye

वफ़ा का अहद था दिल को सँभालने के लिए
वो हँस पड़े मुझे मुश्किल में डालने के लिए

बँधा हुआ है बहारों का अब वहीं ताँता
जहाँ रुका था मैं काँटे निकालने के लिए

कोई नसीम का नग़्मा कोई शमीम का राग
फ़ज़ा को अम्न के क़ालिब में ढालने के लिए

ख़ुदा न कर्दा ज़मीं पाँव से अगर खिसकी
बढ़ेंगे तुंद बगूले सँभालने के लिए

उतर पड़े हैं किधर से ये आँधियों के जुलूस
समुंदरों से जज़ीरे निकालने के लिए

तिरे सलीक़ा-ए-तरतीब-ए-नौ का क्या कहना
हमीं थे क़र्या-ए-दिल से निकालने के लिए

कभी हमारी ज़रूरत पड़ेगी दुनिया को
दिलों की बर्फ़ को शो'लों में ढालने के लिए

ये शो'बदे ही सही कुछ फ़ुसूँ-गरों को बुलाओ
नई फ़ज़ा में सितारे उछालने के लिए

है सिर्फ़ हम को तिरे ख़ाल-ओ-ख़द का अंदाज़ा
ये आइने तू हैं हैरत में डालने के लिए

न जाने कितनी मसाफ़त से आएगा सूरज
निगार-ए-शब का जनाज़ा निकालने के लिए

मैं पेश-रौ हूँ इसी ख़ाक से उगेंगे चराग़
निगाह-ओ-दिल के उफ़ुक़ को उजालने के लिए

फ़सील-ए-शब से कोई हाथ बढ़ने वाला है
फ़ज़ा की जेब से सूरज निकालने के लिए

कुएँ में फेंक के पछता रहा हूँ ऐ 'दानिश'
कमंद थी जो मिनारों पर डालने के लिए

  - Ehsan Danish

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari