kal raat kuchh ajeeb samaan gham-kade mein tha | कल रात कुछ अजीब समाँ ग़म-कदे में था

  - Ehsan Danish

kal raat kuchh ajeeb samaan gham-kade mein tha
main jis ko dhoondhta tha mere aaine mein tha

jis ki nigaah mein theen sitaaron ki manzilen
vo meer-e-kaayenaat usi qafile mein tha

rahgeer sun rahe the ye kis jashn-e-nau ka shor
kal raat mera zikr ye kis silsile mein tha

raksaan the rind jaise bhanwar mein shafaq ke phool
jo paanv pad raha tha bade qaayede mein tha

chhidka jise adam ke samundar pe aap ne
sehra tamaam khaak ke us bulbule mein tha

mannat-guzaar-e-ahl-e-hawas ho saka na dil
haa'il mera zameer mere raaste mein tha

hai farz is ata-e-junoon ka bhi shukriya
lekin ye be-shumaar karam kis sile mein tha

ab aa ke kah rahe ho ki ruswaai se daro
ye baal to kabhi ka mere aaine mein tha

sunta hoon sar-nigoon the farishte mere huzoor
main jaane apni zaat ke kis marhale mein tha

hain sabt mere dil pe zamaane ki thokren
main ek sang-e-raah tha jis raaste mein tha

kuchh bhi na tha azal mein b-juz shola-e-wujood
haan door tak adam ka dhuaan haashie mein tha

main ne jo apna naam pukaara to hans pada
ye mujh sa kaun shakhs mere raaste mein tha

thi nuqta-e-nigaah tak aazaadi-e-amal
parkaar ki tarah main ravaan daayere mein tha

zanjeer ki sada thi na mauj-e-shameem-e-zulf
ye kya tilism un ke mere faasle mein tha

ab rooh e'tiraaf-e-badan se hai munharif
ik ye bhi sang-e-meel mere raaste mein tha

daanish kai nasheb-e-nazar se guzar gaye
har rind aaine ki tarah may-kade mein tha

कल रात कुछ अजीब समाँ ग़म-कदे में था
मैं जिस को ढूँढता था मिरे आइने में था

जिस की निगाह में थीं सितारों की मंज़िलें
वो मीर-ए-काएनात उसी क़ाफ़िले में था

रहगीर सुन रहे थे ये किस जश्न-ए-नौ का शोर
कल रात मेरा ज़िक्र ये किस सिलसिले में था

रक़्साँ थे रिंद जैसे भँवर में शफ़क़ के फूल
जो पाँव पड़ रहा था बड़े क़ाएदे में था

छिड़का जिसे अदम के समुंदर पे आप ने
सहरा तमाम ख़ाक के उस बुलबुले में था

मन्नत-गुज़ार-ए-अहल-ए-हवस हो सका न दिल
हाइल मिरा ज़मीर मिरे रास्ते में था

है फ़र्ज़ इस अता-ए-जुनूँ का भी शुक्रिया
लेकिन ये बे-शुमार करम किस सिले में था

अब आ के कह रहे हो कि रुस्वाई से डरो
ये बाल तो कभी का मिरे आईने में था

सुनता हूँ सर-निगूँ थे फ़रिश्ते मिरे हुज़ूर
मैं जाने अपनी ज़ात के किस मरहले में था

हैं सब्त मेरे दिल पे ज़माने की ठोकरें
मैं एक संग-ए-राह था जिस रास्ते में था

कुछ भी न था अज़ल में ब-जुज़ शो'ला-ए-वजूद
हाँ दूर तक अदम का धुआँ हाशिए में था

मैं ने जो अपना नाम पुकारा तो हँस पड़ा
ये मुझ सा कौन शख़्स मिरे रास्ते में था

थी नुक़्ता-ए-निगाह तक आज़ादी-ए-अमल
परकार की तरह मैं रवाँ दाएरे में था

ज़ंजीर की सदा थी न मौज-ए-शमीम-ए-ज़ुल्फ़
ये क्या तिलिस्म उन के मिरे फ़ासले में था

अब रूह ए'तिराफ़-ए-बदन से है मुन्हरिफ़
इक ये भी संग-ए-मील मिरे रास्ते में था

'दानिश' कई नशेब-ए-नज़र से गुज़र गए
हर रिंद आइने की तरह मय-कदे में था

  - Ehsan Danish

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari