bichhad kar un se yun gham mein guzaari zindagi ham ne
sehar tareek dekhi surkh paai chaandni ham ne
hamein da'wa nahin tanhaa nibaahi dosti ham ne
mohabbat ko sambhaala hai kabhi tum ne kabhi ham ne
khushi gham mein nazar aayi khushi mein gham nazar aaya
abhi duniya pe daali thi nigaah-e-sarsari ham ne
badi bechaargi nikli bahut hi naarsi paai
azal ke roz badh kar le to li thi bandagi ham ne
jahaan saaz-e-mohabbat par mughanni ga nahin saka
wahan naghma alaapa hai kabhi tum ne kabhi ham ne
tumhein hoge nigaah-e-shauq ka markaz tumheen hoge
agar is zindagi ke ba'ad paai zindagi ham ne
hamaare saamne har-waqt anjaam-e-shikaayat thi
kahi ko an-kahi kar di sooni ko an-suni ham ne
bharegi is mein rang ehsaan duniya inqilaabon se
lahu se apne ik tasveer aisi kheench deen ham ne
बिछड़ कर उन से यूँ ग़म में गुज़ारी ज़िंदगी हम ने
सहर तारीक देखी सुर्ख़ पाई चाँदनी हम ने
हमें दा'वा नहीं तन्हा निबाही दोस्ती हम ने
मोहब्बत को सँभाला है कभी तुम ने कभी हम ने
ख़ुशी ग़म में नज़र आई ख़ुशी में ग़म नज़र आया
अभी दुनिया पे डाली थी निगाह-ए-सरसरी हम ने
बड़ी बेचारगी निकली बहुत ही नारसी पाई
अज़ल के रोज़ बढ़ कर ले तो ली थी बंदगी हम ने
जहाँ साज़-ए-मोहब्बत पर मुग़न्नी गा नहीं सकता
वहाँ नग़्मा अलापा है कभी तुम ने कभी हम ने
तुम्हें होगे निगाह-ए-शौक़ का मरकज़ तुम्हीं होगे
अगर इस ज़िंदगी के बा'द पाई ज़िंदगी हम ने
हमारे सामने हर-वक़्त अंजाम-ए-शिकायत थी
कही को अन-कही कर दी सुनी को अन-सुनी हम ने
भरेगी इस में रंग 'एहसान' दुनिया इंक़िलाबों से
लहू से अपने इक तस्वीर ऐसी खींच दीं हम ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Nigaah Shayari Shayari