soz-e-junoon ko dil ki ghiza kar diya gaya
ik zahar-e-jaan-talab ko dava kar diya gaya
naasoor bhar sake na fugaan zabt ho saki
jab nay ko neestaan se juda kar diya gaya
ahl-e-wafa mein maut ki talkhi ko sar-b-sar
qandaab-e-zindagi se siva kar diya gaya
azbar kara diya hai khizaan ko nisaab-e-gul
sarsar ko dars de ke saba kar diya gaya
suraj se rang rang ki kirnen bikher kar
mitti ka zard khet haraa kar diya gaya
lahki azaan bajne lage raaston ke farsh
kirnon ko qaid-e-shab se rihaa kar diya gaya
rooh-e-bahaar khun-e-shaheedaan ka rang dekh
khaak-e-chaman ko laala-qaba kar diya gaya
सोज़-ए-जुनूँ को दिल की ग़िज़ा कर दिया गया
इक ज़हर-ए-जाँ-तलब को दवा कर दिया गया
नासूर भर सके न फ़ुग़ाँ ज़ब्त हो सकी
जब नय को नीस्ताँ से जुदा कर दिया गया
अहल-ए-वफ़ा में मौत की तल्ख़ी को सर-ब-सर
क़ंदाब-ए-ज़िंदगी से सिवा कर दिया गया
अज़बर करा दिया है ख़िज़ाँ को निसाब-ए-गुल
सरसर को दर्स दे के सबा कर दिया गया
सूरज से रंग रंग की किरनें बिखेर कर
मिट्टी का ज़र्द खेत हरा कर दिया गया
लहकी अज़ान बजने लगे रास्तों के फ़र्श
किरनों को क़ैद-ए-शब से रिहा कर दिया गया
रूह-ए-बहार ख़ून-ए-शहीदाँ का रंग देख
ख़ाक-ए-चमन को लाला-क़बा कर दिया गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Dil Shayari Shayari