jala hai haaye kis jaan-e-chaman ki sham-e-mahfil se | जला है हाए किस जान-ए-चमन की शम-ए-महफ़िल से

  - Ehsan Danish

jala hai haaye kis jaan-e-chaman ki sham-e-mahfil se
mahak phoolon ki aati hai sharaar-e-aatish-e-dil se

ye daaman-e-hawadis se qayamat tak na gul hoga
charaagh-e-dil mera raushan hai un ki sham-e-mahfil se

janaab-e-khizr ham ko khaak raaste par lagaaenge
ki manzil be-khudoon ki hai mu'arra qaid-e-manzil se

thehar bhi ai khayaal-e-hashr aur ik jaam peene de
sarkata hai abhi zulmat ka parda khaana-e-dil se

sehar ne le ke angadaai tilism-e-naaz-e-shab toda
falak par husn ki shamaein uthiin taaron ki mehfil se

badha hai kaun ye girdaab ki khooraak hone ko
ki utha shor-e-maatam yak-b-yak amboh-e-saahil se

meri baaleen se uth kar rone waalo ye bhi socha hai
chala hoon kis ki mehfil mein utha hoon kis ki mehfil se

hai us kambakht ko zid soz-e-baatin se pighal jaaun
nigaahon ne tumhaari kah diya hai kya mere dil se

na daaman-geer-e-dil ho na-khuda phir koi nazzara
khuda ke vaaste kashti badha aaghosh-e-saahil se

sipurd-e-be-khudi kar de faraiz aql-e-khud-been ke
hata de is siyah-baatin ka pahra khaana-e-dil se

har ik zarra hai dil ai jaane waale dekh kar chalna
hazaaron hastiyaan lipti padi hain khaak-e-manzil se

meri bebaak nazrein un ki jaanib uth hi jaati hain
abhi ehsaan main waqif nahin aadaab-e-mahfil se

जला है हाए किस जान-ए-चमन की शम-ए-महफ़िल से
महक फूलों की आती है शरार-ए-आतिश-ए-दिल से

ये दामान-ए-हवादिस से क़यामत तक न गुल होगा
चराग़-ए-दिल मिरा रौशन है उन की शम-ए-महफ़िल से

जनाब-ए-ख़िज़्र हम को ख़ाक रस्ते पर लगाएँगे
कि मंज़िल बे-ख़ुदों की है मुअर्रा क़ैद-ए-मंज़िल से

ठहर भी ऐ ख़याल-ए-हश्र और इक जाम पीने दे
सरकता है अभी ज़ुल्मत का पर्दा ख़ाना-ए-दिल से

सहर ने ले के अंगड़ाई तिलिस्म-ए-नाज़-ए-शब तोड़ा
फ़लक पर हुस्न की शमएँ उठीं तारों की महफ़िल से

बढ़ा है कौन ये गिर्दाब की ख़ूराक होने को
कि उट्ठा शोर-ए-मातम यक-ब-यक अम्बोह-ए-साहिल से

मिरी बालीं से उठ कर रोने वालो ये भी सोचा है
चला हूँ किस की महफ़िल में उठा हूँ किस की महफ़िल से

है उस कम्बख़्त को ज़िद सोज़-ए-बातिन से पिघल जाऊँ
निगाहों ने तुम्हारी कह दिया है क्या मिरे दिल से

न दामन-गीर-ए-दिल हो ना-ख़ुदा फिर कोई नज़्ज़ारा
ख़ुदा के वास्ते कश्ती बढ़ा आग़ोश-ए-साहिल से

सिपुर्द-ए-बे-ख़ुदी कर दे फ़राएज़ अक़्ल-ए-ख़ुद-बीं के
हटा दे इस सियह-बातिन का पहरा ख़ाना-ए-दिल से

हर इक ज़र्रा है दिल ऐ जाने वाले देख कर चलना
हज़ारों हस्तियाँ लिपटी पड़ी हैं ख़ाक-ए-मंज़िल से

मिरी बेबाक नज़रें उन की जानिब उठ ही जाती हैं
अभी 'एहसान' मैं वाक़िफ़ नहीं आदाब-ए-महफ़िल से

  - Ehsan Danish

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari