mil mil ke doston ne vo di hai daga mujhe | मिल मिल के दोस्तों ने वो दी है दग़ा मुझे

  - Ehsan Danish

mil mil ke doston ne vo di hai daga mujhe
ab khud pe bhi nahin hai gumaan-e-wafaa mujhe

uf ibtida-e-shauq ki ma'soom justuju
har phool tha chaman mein tira naqsh-e-paa mujhe

ai khinchne waale dekh meri be-panaahiyaan
aati hai dushmanon se bhi boo-e-wafa mujhe

duniya tumhein aziz hai mere siva magar
aalam hai na-pasand tumhaare siva mujhe

karti nahin uboor tumhein meri justuju
kya kar diya hai tum ne ye kya ho gaya mujhe

waz'an bhi hans pada hoon to phir dil se muddaton
aayi karaahne ki sada par sada mujhe

phir baat baat mein hai lachak iltifaat ki
kya phir dikhaaoge koi khwaab-e-wafa mujhe

ye hai fugaan ka zor to phir vo chuka qafas
kar degi meri shola-nawaai rihaa mujhe

kotaahi-e-nazar se ahaata na ho saka
milne ko yun mila hai buton mein khuda mujhe

meri wafa pe aap hi cheen-bar-jabeen nahin
main khud bhi sochta hoon ye kya ho gaya mujhe

jis mudda-e-shauq ki daryaft hain huzoor
mayus kar raha hai wahi muddaa mujhe

ik zeeq ik azaab ik andoh ik tadap
tum ne ye dil ke naam se kya de diya mujhe

un ko ganwa ke haal raha hai ye muddaton
aaya khayal bhi to bada gham hua mujhe

iflaas ke shabaab-e-muqaddas mein baarha
aaya hai poochne mere ghar par khuda mujhe

ehsaan apne waqt pe maut aayegi magar
jeene ka mashwara nahin deti fazaa mujhe

मिल मिल के दोस्तों ने वो दी है दग़ा मुझे
अब ख़ुद पे भी नहीं है गुमान-ए-वफ़ा मुझे

उफ़ इब्तिदा-ए-शौक़ की मा'सूम जुस्तुजू
हर फूल था चमन में तिरा नक़्श-ए-पा मुझे

ऐ खिंचने वाले देख मिरी बे-पनाहीयाँ
आती है दुश्मनों से भी बू-ए-वफ़ा मुझे

दुनिया तुम्हें अज़ीज़ है मेरे सिवा मगर
आलम है ना-पसंद तुम्हारे सिवा मुझे

करती नहीं उबूर तुम्हें मेरी जुस्तुजू
क्या कर दिया है तुम ने ये क्या हो गया मुझे

वज़अन भी हँस पड़ा हूँ तो फिर दिल से मुद्दतों
आई कराहने की सदा पर सदा मुझे

फिर बात बात में है लचक इल्तिफ़ात की
क्या फिर दिखाओगे कोई ख़्वाब-ए-वफ़ा मुझे

ये है फ़ुग़ाँ का ज़ोर तो फिर वो चुका क़फ़स
कर देगी मेरी शो'ला-नवाई रिहा मुझे

कोताही-ए-नज़र से अहाता न हो सका
मिलने को यूँ मिला है बुतों में ख़ुदा मुझे

मेरी वफ़ा पे आप ही चीं-बर-जबीं नहीं
मैं ख़ुद भी सोचता हूँ ये क्या हो गया मुझे

जिस मुद्दआ-ए-शौक़ की दरयाफ़्त हैं हुज़ूर
मायूस कर रहा है वही मुद्दआ' मुझे

इक ज़ीक़ इक अज़ाब इक अंदोह इक तड़प
तुम ने ये दिल के नाम से क्या दे दिया मुझे

उन को गँवा के हाल रहा है ये मुद्दतों
आया ख़याल भी तो बड़ा ग़म हुआ मुझे

इफ़्लास के शबाब-ए-मुक़द्दस में बारहा
आया है पूछने मिरे घर पर ख़ुदा मुझे

'एहसान' अपने वक़्त पे मौत आएगी मगर
जीने का मशवरा नहीं देती फ़ज़ा मुझे

  - Ehsan Danish

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Danish

As you were reading Shayari by Ehsan Danish

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Danish

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari