aaj bhadki rag-e-wahshat tire deewaanon ki
qismaten jaagne waali hain biyaabaanon ki
phir ghataon mein hai naqqara-e-wahshat ki sada
toliyaan bandh ke chaliin dasht ko deewaanon ki
aaj kya soojh rahi hai tire deewaanon ko
dhajjiyaan dhundhte firte hain garebaanon ki
rooh-e-majnoon abhi betaab hai seharaaon mein
khaak be-wajah nahin udti biyaabaanon ki
us ne ehsaan kuchh is naaz se mud kar dekha
dil mein tasveer utar aayi paree-khaanon ki
आज भड़की रग-ए-वहशत तिरे दीवानों की
क़िस्मतें जागने वाली हैं बयाबानों की
फिर घटाओं में है नक़्क़ारा-ए-वहशत की सदा
टोलियाँ बंध के चलीं दश्त को दीवानों की
आज क्या सूझ रही है तिरे दीवानों को
धज्जियाँ ढूँढते फिरते हैं गरेबानों की
रूह-ए-मजनूँ अभी बेताब है सहराओं में
ख़ाक बे-वजह नहीं उड़ती बयाबानों की
उस ने 'एहसान' कुछ इस नाज़ से मुड़ कर देखा
दिल में तस्वीर उतर आई परी-ख़ानों की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading DP Shayari Shayari