jeene ke liye jo mar rahe hain
aaghaaz-e-hayaat kar rahe hain
hai husn ka naam muft badnaam
log apni talab mein mar rahe hain
gunchon ki tarah khile the kuchh log
kirnon ki tarah bikhar rahe hain
hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjeer
deewane jidhar guzar rahe hain
sunta hoon ki aap ke wafadar
anjaam-e-wafa se dar rahe hain
saahil ko bhi chhodate nahin log
kashti pe bhi paanv dhar rahe hain
ab dasht mein narm-rau hawa se
kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe hain
roohon mein nayi sehar ke bais
zehnon ke nashe utar rahe hain
ham jaise tamaam naam-leva
dhabba tire naam par rahe hain
khushboo se ladi bahaar mein bhi
ham dard se bahra-var rahe hain
har daur ke fan-shanaas daanish
naakaam-e-husool-e-zar rahe hain
जीने के लिए जो मर रहे हैं
आग़ाज़-ए-हयात कर रहे हैं
है हुस्न का नाम मुफ़्त बदनाम
लोग अपनी तलब में मर रहे हैं
ग़ुंचों की तरह खिले थे कुछ लोग
किरनों की तरह बिखर रहे हैं
है नक़्श-ए-क़दम पे नक़्श-ए-ज़ंजीर
दीवाने जिधर गुज़र रहे हैं
सुनता हूँ कि आप के वफ़ादार
अंजाम-ए-वफ़ा से डर रहे हैं
साहिल को भी छोड़ते नहीं लोग
कश्ती पे भी पाँव धर रहे हैं
अब दश्त में नर्म-रौ हवा से
कुछ नक़्श-ए-क़दम निखर रहे हैं
रूहों में नई सहर के बाइ'स
ज़ेहनों के नशे उतर रहे हैं
हम जैसे तमाम नाम-लेवा
धब्बा तिरे नाम पर रहे हैं
ख़ुशबू से लदी बहार में भी
हम दर्द से बहरा-वर रहे हैं
हर दौर के फ़न-शनास 'दानिश'
नाकाम-ए-हुसूल-ए-ज़र रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Danish
our suggestion based on Ehsan Danish
As you were reading Hawa Shayari Shayari